kis se garmi ka rakha jae ye bhaari roza
kis se garmi ka rakha jae ye bhaari roza
Rangin Saadat Yaar Khan
MORE BYRangin Saadat Yaar Khan
kis se garmī kā rakhā jaa.e ye bhārī roza
sardī hove to rakhe mujh sī bechārī roza
dekh pañsūre meñ tārīḳh batā de mujh ko
ab ke aa to jī rakhūñgī maiñ hazārī roza
muñh pe kuchh rakhtī nahīñ apne vo pan-bhattī meñ
kholtī jab hai dadā merī dulārī roza
aaj se firnī o fālūda kī tayyārī kar
kal hai nau-chañdī rakhegī merī pyārī roza
merā muñh utrā huā dekh ke kahtī hai jiyā
aaj tū kar ke na rakh minnat-o-zārī roza
kis se garmi ka rakha jae ye bhaari roza
sardi howe to rakhe mujh si bechaari roza
dekh pansure mein tariKH bata de mujh ko
ab ke aa to ji rakhungi main hazari roza
munh pe kuchh rakhti nahin apne wo pan-bhatti mein
kholti jab hai dada meri dulari roza
aaj se firni o faluda ki tayyari kar
kal hai nau-chandi rakhegi meri pyari roza
mera munh utra hua dekh ke kahti hai jiya
aaj tu kar ke na rakh minnat-o-zari roza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.