aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
be-ḳhudī ne kar diyā jazbāt-e-dil se be-niyāz
ab tirā milnā na milnā sab barābar ho gayā
be-KHudi ne kar diya jazbaat-e-dil se be-niyaz
ab tera milna na milna sab barabar ho gaya
ḳhāmushī arz-e-hāl hai shāyad
merī sūrat savāl hai shāyad
KHamushi arz-e-haal hai shayad
meri surat sawal hai shayad
jab zabānoñ pe tum se tū aayā
ḳhaak phir lutf-e-guftugū aayā
jab zabanon pe tum se tu aaya
KHak phir lutf-e-guftugu aaya
Sign up and enjoy FREE unlimited access to a whole Universe of Urdu Poetry, Language Learning, Sufi Mysticism, Rare Texts
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books