Mahboob Khizan
Ghazal 22
Nazm 9
Sher-o-Shayari 25
ham aap qayāmat se guzar kyuuñ nahīñ jaate
jiine kī shikāyat hai to mar kyuuñ nahīñ jaate
hum aap qayamat se guzar kyun nahin jate
jine ki shikayat hai to mar kyun nahin jate
-
Share this
- See Ghazal
tumheñ ḳhayāl nahīñ kis tarah batā.eñ tumheñ
ki saañs chaltī hai lekin udaas chaltī hai
tumhein KHayal nahin kis tarah bataen tumhein
ki sans chalti hai lekin udas chalti hai
-
Share this
- See Ghazal
mirī nigāh meñ kuchh aur DhūñDne vaale
tirī nigāh meñ kuchh aur DhūñDtā huuñ maiñ
meri nigah mein kuchh aur DhunDne wale
teri nigah mein kuchh aur DhunDta hun main
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 5
Image Shayari 3
ye jo ham kabhii kabhii sochte hai.n raat ko raat kyaa samajh sake in mu'aamalaat ko husn aur najaat me.n fasl-e-mashriqain hai kaun chaahtaa nahii.n husn ko najaat ko ye sukuun-e-be-jihat ye kashish 'ajiib hai tujh me.n band kar diyaa kis ne shash-jihaat ko saahil-e-KHayaal par kahkashaa.n kii chhuuT thii ek mauj le ga.ii in tajalliyaat ko aa.nkh jab uThe bhar aa.e she'r ab kahaa na jaa.e kaise bhuul jaa.e vo bhuulne kii baat ko dekh ai merii nigaah tuu bhii hai jahaa.n bhii hai kis ne baa-KHabar kiyaa duusre kii zaat ko kyaa ai merii nigaah tuu bhii hai jahaa.n bhii hai kis ne baa-KHabar kahaa duusre kii zaat ko kyaa hu.ii.n rivaayate.n ab hai.n kyuu.n shikaayate.n ishq-e-naa-muraad se husn-e-be-sabaat ko ai bahaar-e-sar-giraa.n tuu KHizaa.n-nasiib hai aur ham taras ga.e tere iltifaat ko