Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Ilyas Ishqi

1922 - 2007 | Pakistan

Ilyas Ishqi

Ghazal 6

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 5

is uljhan ko suljhāne kaun hai tadbīr likho

ishq agar hai jurm to mujrim rāñjhā hai hiir likho

is uljhan ko suljhane ki kaun si hai tadbir likho

ishq agar hai jurm to mujrim ranjha hai ya hir likho

koī qarya koī dayār ho kahīñ ham akele nahīñ rahe

tirī justujū meñ jahāñ ga.e vahīñ saath dar-badarī rahī

koi qarya koi dayar ho kahin hum akele nahin rahe

teri justuju mein jahan gae wahin sath dar-badari rahi

vaqt aayā to ḳhuun se apne dāġh-e-nadāmat dho leñge

sāya-e-zulf meñ jāgne vaale sāya-e-dār meñ so leñge

waqt aaya to KHun se apne dagh-e-nadamat dho lenge

saya-e-zulf mein jagne wale saya-e-dar mein so lenge

us bālak-haT ke aage ghar chhoḌā bairāg liyā

dekheñ kyā din dikhlātā hai ab ye mūrakh man baabā

us ki baalak-haT ke aage ghar chhoDa bairag liya

dekhen kya din dikhlata hai ab ye murakh man baba

vahī aag apnā nasīb thī ki tamām umr jalā kiye

jo lagā.ī thī kabhī ishq ne vahī aag dil meñ bharī rahī

wahi aag apna nasib thi ki tamam umr jala kiye

jo lagai thi kabhi ishq ne wahi aag dil mein bhari rahi

BOOKS 1

 

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now