aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1931 | Chennai, India
tire mahal meñ hazāroñ charāġh jalte haiñ
ye merā ghar hai yahāñ dil ke daaġh jalte haiñ
tere mahal mein hazaron charagh jalte hain
ye mera ghar hai yahan dil ke dagh jalte hain
shikār apnī anā kā hai aaj kā insāñ
jise bhī dekhiye tanhā dikhā.ī detā hai
shikar apni ana ka hai aaj ka insan
jise bhi dekhiye tanha dikhai deta hai
log achchhoñ ko bhī kis dil se burā kahte haiñ
ham ko kahne meñ buroñ ko bhī burā lagtā hai
log achchhon ko bhi kis dil se bura kahte hain
hum ko kahne mein buron ko bhi bura lagta hai
duniyā se ḳhatm ho gayā insān kā vajūd
rahnā paḌā hai ham ko darindoñ ke darmiyāñ
duniya se KHatm ho gaya insan ka wajud
rahna paDa hai hum ko darindon ke darmiyan
raushnī jab se mujhe chhoḌ ga.ī
sham.a rotī hai sirhāne mere
raushni jab se mujhe chhoD gai
shama roti hai sirhane mere
Asghar Shanasi
Asghar Velori : Fikr-o-Fan
2016
Asghar Velori : Munfarid Rubai Go
2005
Asghar Velori Ki Ghazliya Shairi
2008
Huroof
1992
Khule Alfaz
Ghazlon, Rubaiyon Aur Qitaat Ka Majmua
2003
Muntakhab Rubaiyat-e-Asghar
2014
Nuqoosh-e-Asghar
1998
Raqs-e-Qalam
2006
Rashhat-e-Asghar
Rubaiyat-e-Asghar
2004
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books