Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Amritanshu Sharma's Photo'

Amritanshu Sharma

2000 | Delhi, India

Amritanshu Sharma

Ghazal 14

Sher-o-Shayari 2

vo ḳhush huā ki us ko ḳhasārā nahīñ huā

maiñ ro rahā thā merā sahārā chalā gayā

wo KHush hua ki us ko KHasara nahin hua

main ro raha tha mera sahaara chala gaya

kuuza jaise ki chhalak jaa.e hai bhar jaane par

koī aañsū bahā de mire mar jaane par

kuza jaise ki chhalak jae hai bhar jaane par

koi aansu hi baha de mere mar jaane par

 

Doha 2

adh-jal gāgar kar rahī ḳhud apne par naaz

jab jab mat maarī ga.ī guuñj uThī āvāz

adh-jal gagar kar rahi KHud apne par naz

jab jab mat mari gai gunj uThi aawaz

  • Share this

saj-dhaj kar baiThī rahī chaukhaT par bechain

sājan ghar aa.e nahīñ kaise kāTūñ rain

saj-dhaj kar baiThi rahi chaukhaT par bechain

sajan ghar aae nahin kaise kaTun rain

  • Share this
 

More Poets From "Delhi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now