akele kamre mein
abhī se un ke liye itnī be-qarār na ho
kiyā hai mujh ko bahut be-qarār chheḌā hai
tumhāre sher sunā kar tumhāre sar kī qasam
saheliyoñ ne mujhe baar baar chheḌā hai
kashish nahīñ hai tumhāre binā bahāroñ meñ
ye chhat ye chāñd sitāre udaas lagte haiñ
chaman kā rañg nasīm-e-sahar gulāb ke phuul
nahīñ ho tum to ye saare udaas lagte haiñ
ḳhabar sunī hai kabhī jab tumhāre aane kī
maiñ aa.ine meñ dulhan ban ke muskurā.ī huuñ
ga.ī huuñ dāman-e-dil ko ḳhushī se bharne magar
jahān bhar kī udāsī sameT laa.ī huuñ
kahīñ pe gaa.e ga.e haiñ jo giit bābul ke
to ajnabī se ḳhayāloñ meñ kho ga.ī huuñ maiñ
tumhārī yaad ke siine pe bār-hā 'āzar'
tasavvurāt kā sar rakh ke so ga.ī huuñ maiñ
tumheñ yaqīn na hogā akele kamre meñ
maiñ apnī jaan se pyāre ḳhutūt paḌhtī huuñ
tamām raat tumheñ yaad kartī rahtī huuñ
tamām raat tumhāre ḳhutūt paḌhtī huuñ
tum aa bhī jaao ki guzre hue dinoñ kī tarah
sulag na jaa.eñ kahīñ hasratoñ kī tasvīreñ
udaas pā ke na chheḌeñ saheliyāñ mujh ko
badal bhī do mirī tanhā.iyoñ kī taqdīreñ
abhi se un ke liye itni be-qarar na ho
kiya hai mujh ko bahut be-qarar chheDa hai
tumhaare sher suna kar tumhaare sar ki qasam
saheliyon ne mujhe bar bar chheDa hai
kashish nahin hai tumhaare bina bahaaron mein
ye chhat ye chand sitare udas lagte hain
chaman ka rang nasim-e-sahar gulab ke phul
nahin ho tum to ye sare udas lagte hain
KHabar suni hai kabhi jab tumhaare aane ki
main aaine mein dulhan ban ke muskurai hun
gai hun daman-e-dil ko KHushi se bharne magar
jahan bhar ki udasi sameT lai hun
kahin pe gae gae hain jo git babul ke
to ajnabi se KHayalon mein kho gai hun main
tumhaari yaad ke sine pe bar-ha 'azar'
tasawwuraat ka sar rakh ke so gai hun main
tumhein yaqin na hoga akele kamre mein
main apni jaan se pyare KHutut paDhti hun
tamam raat tumhein yaad karti rahti hun
tamam raat tumhaare KHutut paDhti hun
tum aa bhi jao ki guzre hue dinon ki tarah
sulag na jaen kahin hasraton ki taswiren
udas pa ke na chheDen saheliyan mujh ko
badal bhi do meri tanhaiyon ki taqdiren
- Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 112)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.