ye kaisā ishq hai urdu zabāñ kaa,
mazā ghultā hai lafzoñ kā zabāñ par
ki jaise paan meñ mahñgā qimām ghultā hai
ye kaisā ishq hai urdu zabāñ kaa....
nasha aatā hai urdu bolne meñ
gilaurī kī tarah haiñ muñh lagī sab istelāheñ
lutf detī hai, halaq chhūtī hai urdu to, halaq se jaise mai kā ghoñT utartā hai
baḌī aristocracy hai zabāñ meñ
faqīrī meñ navābī kā mazā detī hai urdu
agarche ma.anī kam hote hai urdu meñ
alfāz kī ifrāt hotī hai
magar phir bhii, buland āvāz paḌhiye to bahut hī mo'tabar lagtī haiñ bāteñ
kahīñ kuchh duur se kānoñ meñ paḌtī hai agar urdu
to lagtā hai ki din jāḌoñ ke haiñ khiḌkī khulī hai, dhuup andar aa rahī hai
ajab hai ye zabāñ, urdu
kabhī kahīñ safar karte agar koī musāfir sher paḌh de 'mīr', 'ġhālib' kā
vo chāhe ajnabī ho, yahī lagtā hai vo mere vatan kā hai
baḌī shā.ista lahje meñ kisī se urdu sun kar
kyā nahīñ lagtā ki ek tahzīb kī āvāz hai, urdu
ye kaisa ishq hai urdu zaban ka,
maza ghulta hai lafzon ka zaban par
ki jaise pan mein mahnga qimam ghulta hai
ye kaisa ishq hai urdu zaban ka
nasha aata hai urdu bolne mein
gilauri ki tarah hain munh lagi sab istelahen
lutf deti hai, halaq chhuti hai urdu to, halaq se jaise mai ka ghonT utarta hai
baDi aristocracy hai zaban mein
faqiri mein nawabi ka maza deti hai urdu
agarche mani kam hote hai urdu mein
alfaz ki ifraat hoti hai
magar phir bhi, buland aawaz paDhiye to bahut hi mo'tabar lagti hain baaten
kahin kuchh dur se kanon mein paDti hai agar urdu
to lagta hai ki din jaDon ke hain khiDki khuli hai, dhup andar aa rahi hai
ajab hai ye zaban, urdu
kabhi kahin safar karte agar koi musafir sher paDh de 'mir', 'ghaalib' ka
wo chahe ajnabi ho, yahi lagta hai wo mere watan ka hai
baDi shaista lahje mein kisi se urdu sun kar
kya nahin lagta ki ek tahzib ki aawaz hai, urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.