urdu
jabīn-e-vaqt par kaisī shikan hai ham nahīñ samjhe
koī kyuuñ kar harīf-e-ilm-o-fan hai ham nahīñ samjhe
kisī bhī sham.a se be-zār kyuuñ ho koī parvāna
ye kyā is daur kā dīvāna-pan hai ham nahīñ samjhe
bahut samjhe the ham is daur kī firqa-parastī ko
zabāñ bhī aaj shaiḳh-o-barhaman hai ham nahīñ samjhe
agar urdu pe bhī ilzām hai bāhar se aane kā
to phir hindostāñ kis kā vatan hai ham nahīñ samjhe
chaman kā husn to har rang ke phūloñ se hai 'rāshid'
koī bhī phuul kyuuñ nañg-e-chaman hai ham nahīñ samjhe
jabin-e-waqt par kaisi shikan hai hum nahin samjhe
koi kyun kar harif-e-ilm-o-fan hai hum nahin samjhe
kisi bhi shama se be-zar kyun ho koi parwana
ye kya is daur ka diwana-pan hai hum nahin samjhe
bahut samjhe the hum is daur ki firqa-parasti ko
zaban bhi aaj shaiKH-o-barhaman hai hum nahin samjhe
agar urdu pe bhi ilzam hai bahar se aane ka
to phir hindostan kis ka watan hai hum nahin samjhe
chaman ka husn to har rang ke phulon se hai 'rashid'
koi bhi phul kyun nang-e-chaman hai hum nahin samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.