apne muñh se kah rahī hai saaf urdu kī zabāñ
maulid-o-māvā hai merā kishvar-e-hindostāñ
is ke af.āl-o-ravābit de rahe haiñ ḳhud nishāñ
kis tarah paidā huī kyuuñ kar baḌhī pal kar yahāñ
roz afzūñ husn kā har daur ik sayyāra hai
hai dabistāñ lucknow dillī agar gahvāra hai
muddatoñ sarkār-e-dehlī meñ rahī ye bāryāb
ab tak urdu-e-muallā hai vahī shāhī ḳhitāb
daur-daura lucknow meñ bhī thā qabl-az-inqalāb
kar liyā thā nukta-sanjoñ ne isī ko intiḳhāb
har adā-shīrīñ mazāq-e-pārsā-o-riñd meñ
us kā tuutī boltā thā sabza-zār-e-hind meñ
tajribe kī aañkh se dekhā jo is ko honhār
company ne kar liyā apnā sharīk-e-kārobār
daftaroñ meñ mahakmoñ meñ baḌh gayā uzv-e-vaqār
jam gayā chalte hue sikkoñ pe naqsh-e-e'tibār
jab quēn-victoriya kī ye sahelī ho ga.ī
har zabāñ duniyā meñ is kī phir to chelī ho ga.ī
fārsī hindī kī āmezish se hai is kā vajūd
yādgār-e-ittihād-e-ahl-e-islām-o-hanūd
dhuup chhāñ ke rañg kī hai vo qabā-e-hast-o-būd
kār-gāh-e-hind se mansūb jis ke tār-o-pūd
suft-o-sañgīñ yā libās-e-āriyat bārīk hai
jāma-zebī se qad-e-mauzūñ par is ke Thiik hai
thī mah-e-nau rafta rafta māh-e-kāmil ban ga.ī
shā.irāna mahfiloñ meñ sham-e-mahfil ban ga.ī
husn-e-fitrat kī adā-fahmī ke qābil ban ga.ī
jab zabāñ kī tez nashtar se rag-e-dil ban ga.ī
kyā qayāmat hai ki dil par kuchh asar lete nahīñ
ho rahā hai ḳhuun is kā tum ḳhabar lete nahīñ
khīñch do uTh kar qavā.id se hisār-e-āfiyat
mil ke sab tayyār kar do jāma.a o maan.e luġhat
dekhte ho aa.e din jo ho rahī hai is kī gat
ik imārat hai havā par ho muallaq jis kī chhat
is tarah ilmī sutūnoñ par ise qaa.em karo
zalzala kaisā hī saḳht aa.e magar jumbish na ho
har zabāñ kā lafz khap jaa.e ye vus.at is meñ hai
har luġhat ke jazb kar lene kī tāqat is meñ hai
brij-bhāshā meñ hai jo lazzat vo lazzat is meñ hai
saaf qand-e-fārsī kī bhī halāvat is meñ hai
raas juz shīr-o-shakar koī nahīñ is ko ḳhurish
do zabāneñ chuus kar paa.ī hai is ne parvarish
apne munh se kah rahi hai saf urdu ki zaban
maulid-o-mawa hai mera kishwar-e-hindostan
is ke afal-o-rawabit de rahe hain KHud nishan
kis tarah paida hui kyun kar baDhi pal kar yahan
roz afzun husn ka har daur ek sayyara hai
hai dabistan lucknow dilli agar gahwara hai
muddaton sarkar-e-dehli mein rahi ye baryab
ab tak urdu-e-mualla hai wahi shahi KHitab
daur-daura lucknow mein bhi tha qabl-az-inqalab
kar liya tha nukta-sanjon ne isi ko intiKHab
har ada-shirin mazaq-e-parsa-o-rind mein
us ka tuti bolta tha sabza-zar-e-hind mein
tajribe ki aankh se dekha jo is ko honhaar
company ne kar liya apna sharik-e-karobar
daftaron mein mahakmon mein baDh gaya uzw-e-waqar
jam gaya chalte hue sikkon pe naqsh-e-e'tibar
jab queen-wictoriya ki ye saheli ho gai
har zaban duniya mein is ki phir to cheli ho gai
farsi hindi ki aamezish se hai is ka wajud
yaadgar-e-ittihad-e-ahl-e-islam-o-hanud
dhup chhan ke rang ki hai wo qaba-e-hast-o-bud
kar-gah-e-hind se mansub jis ke tar-o-pud
suft-o-sangin ya libas-e-ariyat barik hai
jama-zebi se qad-e-mauzun par is ke Thik hai
thi mah-e-nau rafta rafta mah-e-kaamil ban gai
shairana mahfilon mein sham-e-mahfil ban gai
husn-e-fitrat ki ada-fahmi ke qabil ban gai
jab zaban ki tez nashtar se rag-e-dil ban gai
kya qayamat hai ki dil par kuchh asar lete nahin
ho raha hai KHun is ka tum KHabar lete nahin
khinch do uTh kar qawaid se hisar-e-afiyat
mil ke sab tayyar kar do jama o mane lughat
dekhte ho aae din jo ho rahi hai is ki gat
ek imarat hai hawa par ho muallaq jis ki chhat
is tarah ilmi sutunon par ise qaem karo
zalzala kaisa hi saKHt aae magar jumbish na ho
har zaban ka lafz khap jae ye wusat is mein hai
har lughat ke jazb kar lene ki taqat is mein hai
brij-bhasha mein hai jo lazzat wo lazzat is mein hai
saf qand-e-farsi ki bhi halawat is mein hai
ras juz shir-o-shakar koi nahin is ko KHurish
do zabanen chus kar pai hai is ne parwarish
Tagged Under
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.