urdu
faroġh-e-chashm hai taskīn-e-dil hai be-gumāñ urdu
har ik aalam meñ hai goyā bahār-e-gul-fishāñ urdu
koī dekhe to is kī quvvat-e-taḳhlīq kā aalam
banā saktī hai zer-e-charḳh lākhoñ āsmāñ urdu
muqallid jo nahīñ is kā vo pahuñchegā na manzil par
sar-e-har-jāda-e-manzil hai mīr-e-kārvāñ urdu
muhāfiz apnī quvvat se hai tahzīb-o-tamaddun kī
na kyuuñ ho irtiqā-e-zindagī kī rāz-dāñ urdu
gulistān-e-adab meñ jis qadar the muntashir jalve
munazzam kar chukī hai un ko misl-e-jism-o-jāñ urdu
fazā-e-ilm-o-fan par ye misāl-e-abr chhā.ī hai
mazāq-e-justujū ban kar rag-e-dil meñ samā.ī hai
zabāneñ aur bhī duniyā meñ kuchh garmī-e-mahfil haiñ
magar manzil hai urdu aur vo sab gard-e-manzil haiñ
har ik andāz raushan har bayāñ pur-kaif hai is kā
adā.eñ jis qadar bhī haiñ vo sharh-e-jazba-e-dil haiñ
zamīn-e-sher is kī ik chaman-zār-e-mohabbbat hai
haiñ jitne giit vo sab naġhma-e-fitrat kā hāsil hai
riyāzī ho ki mantiq falsafa ho yā tasavvuf ho
sab is kī bazm meñ maujūd haiñ aur jān-e-mahfil haiñ
milī haiñ jalva-e-fitrat kī sab rañgīniyāñ is ko
muraqqe is ke siine se lagā lene ke qābil haiñ
rivāj is kā jahāñ kī vus.atoñ meñ be-takalluf hai
ye pākīza zabāñ hai aur latīf is kā tasarruf hai
miTā saktā hai kaun aisī zabān-e-pāk-fitrat ko
dayā dars-e-vafā jis ne mazāq-e-mulk-o-millat ko
jumūd-e-zindagī meñ hashr barpā kar diyā is ne
atā kī haiñ isī ne bijliyāñ ehsās-e-ulfat ko
nizām-e-zindagānī par baḌā ehsān hai is kā
bahut āsāniyāñ is meñ mileñ tablīġh-e-fitrat ko
rahe shān-e-talāqat lafz-o-ma.anī haiñ ki gul-būTe
zahe auj-e-hazāqat jaan de dī murda hikmat ko
ye mumkin hai ki qaumoñ ko miTā de gardish-e-ālam
magar koī miTā saktā nahīñ urdu kī azmat ko
har ik tahrīk is kī tarjumān jazb-e-kāmil hai
ki har āhañg-e-urdu hamnavā-e-barbat-e-dil hai
farogh-e-chashm hai taskin-e-dil hai be-guman urdu
har ek aalam mein hai goya bahaar-e-gul-fishan urdu
koi dekhe to is ki quwwat-e-taKHliq ka aalam
bana sakti hai zer-e-charKH lakhon aasman urdu
muqallid jo nahin is ka wo pahunchega na manzil par
sar-e-har-jada-e-manzil hai mir-e-karwan urdu
muhafiz apni quwwat se hai tahzib-o-tamaddun ki
na kyun ho irtiqa-e-zindagi ki raaz-dan urdu
gulistan-e-adab mein jis qadar the muntashir jalwe
munazzam kar chuki hai un ko misl-e-jism-o-jaan urdu
faza-e-ilm-o-fan par ye misal-e-abr chhai hai
mazaq-e-justuju ban kar rag-e-dil mein samai hai
zabanen aur bhi duniya mein kuchh garmi-e-mahfil hain
magar manzil hai urdu aur wo sab gard-e-manzil hain
har ek andaz raushan har bayan pur-kaif hai is ka
adaen jis qadar bhi hain wo sharh-e-jazba-e-dil hain
zamin-e-sher is ki ek chaman-zar-e-mohabbbat hai
hain jitne git wo sab naghma-e-fitrat ka hasil hai
riyazi ho ki mantiq falsafa ho ya tasawwuf ho
sab is ki bazm mein maujud hain aur jaan-e-mahfil hain
mili hain jalwa-e-fitrat ki sab ranginiyan is ko
muraqqe is ke sine se laga lene ke qabil hain
riwaj is ka jahan ki wusaton mein be-takalluf hai
ye pakiza zaban hai aur latif is ka tasarruf hai
miTa sakta hai kaun aisi zaban-e-pak-fitrat ko
daya dars-e-wafa jis ne mazaq-e-mulk-o-millat ko
jumud-e-zindagi mein hashr barpa kar diya is ne
ata ki hain isi ne bijliyan ehsas-e-ulfat ko
nizam-e-zindagani par baDa ehsan hai is ka
bahut aasaniyan is mein milen tabligh-e-fitrat ko
rahe shan-e-talaqat lafz-o-mani hain ki gul-buTe
zahe auj-e-hazaqat jaan de di murda hikmat ko
ye mumkin hai ki qaumon ko miTa de gardish-e-alam
magar koi miTa sakta nahin urdu ki azmat ko
har ek tahrik is ki tarjuman jazb-e-kaamil hai
ki har aahang-e-urdu hamnawa-e-barbat-e-dil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.