Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tarana-e-urdu

Shatir Hakeemi

tarana-e-urdu

Shatir Hakeemi

MORE BYShatir Hakeemi

    vallāh kyā zabāñ hai urdu zabāñ hamārī

    fitrat tarjumāñ hai urdu zabāñ hamārī

    aabā dāstāñ hai urdu zabāñ hamārī

    mazlūm fuġhāñ hai urdu zabāñ hamārī

    hindū bhī bolte haiñ muslim bhī bolte haiñ

    do jism ek jaañ hai urdu zabāñ hamārī

    ta.amīr hai is ḳhud ko miTā miTā kar

    aslāf nishāñ hai urdu zabāñ hamārī

    mīThā ik ek jumla pur-kaif har maqāla

    al-haq shakar-fishāñ hai urdu zabāñ hamārī

    alfāz chāñd taare ban kar chamak rahe haiñ

    rif.at meñ āsmāñ hai urdu zabāñ hamārī

    'ġhālib' 'nasīm' 'kaifī' chakbast 'zauq' 'sarshār'

    har shaḳhs zabāñ hai urdu zabāñ hamārī

    ik ik kitāb is phūlā-phalā chaman hai

    gulzār-e-be-ḳhizāñ hai urdu zabāñ hamārī

    'munshī-prem' is par hote na kyuuñ tasadduq

    maanī huī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī

    har aadmī ke dil meñ ghar kar rahī hai 'shātir'

    mahbūb mehrbāñ hai urdu zabāñ hamārī

    wallah kya zaban hai urdu zaban hamari

    fitrat ki tarjuman hai urdu zaban hamari

    aaba ki dastan hai urdu zaban hamari

    mazlum ki fughan hai urdu zaban hamari

    hindu bhi bolte hain muslim bhi bolte hain

    do jism ek jaan hai urdu zaban hamari

    tamir ki hai is ki KHud ko miTa miTa kar

    aslaf ka nishan hai urdu zaban hamari

    miTha ek ek jumla pur-kaif har maqala

    al-haq shakar-fishan hai urdu zaban hamari

    alfaz chand tare ban kar chamak rahe hain

    rifat mein aasman hai urdu zaban hamari

    'ghaalib' 'nasim' 'kaifi' chakbast 'zauq' 'sarshaar'

    har shaKHs ki zaban hai urdu zaban hamari

    ek ek kitab is ki phula-phala chaman hai

    gulzar-e-be-KHizan hai urdu zaban hamari

    'munshi-prem' is par hote na kyun tasadduq

    mani hui zaban hai urdu zaban hamari

    har aadmi ke dil mein ghar kar rahi hai 'shatir'

    mahbub mehrban hai urdu zaban hamari

    related content

    Nazm

    chahaton ka jahan hai urdu

    chahaton ka jahan hai urdu

    Krishna Mohan

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now