madari zaban
āġhosh-e-vālida meñ paalā thā ham ko jis ne
ik paikar-e-adab meñ Dhālā thā ham ko jis ne
jis ne hai ibtidā se har zindagī sañvārī
vo mādarī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī
bachpan meñ jis ne mīThī lorī sunā.ī ham ko
jis ke tufail jhūle meñ niiñd aa.ī ham ko
ras gholtī hai jis kī āvāz pyārī pyārī
vo mādarī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī
jis kī madad se ham ne apnī zabān kholī
jis meñ samā ga.ī hai saare jahāñ kī bolī
jis kī har ik sifat hai sau ḳhūbiyoñ pe bhārī
vo mādarī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī
jis se miTā jahālat kī raat kā añdherā
hindostāñ meñ chamkā tahzīb kā saverā
hai jis kī raushnī kā har ghar meñ faiz jaarī
vo mādarī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī
vo 'krishn' hoñ ki 'bedī' 'chakbast' hoñ ki 'tālib'
'mahrūm' hoñ ki 'hālī' 'iqbāl' hoñ ki 'ġhālib'
sadiyoñ har ahl-e-maz.hab jis kā rahā pujārī
vo mādarī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī
jis ne ḳhulūs-e-dil se ai 'kaif' sab ko paalā
jis kā har ek ghar meñ ab bhī hai bol-bālā
dushman ke bhī diloñ par hai jis kā ḳhauf taarī
vo mādarī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī
aaghosh-e-walida mein pala tha hum ko jis ne
ek paikar-e-adab mein Dhaala tha hum ko jis ne
jis ne hai ibtida se har zindagi sanwari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
bachpan mein jis ne miThi lori sunai hum ko
jis ke tufail jhule mein nind aai hum ko
ras gholti hai jis ki aawaz pyari pyari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
jis ki madad se hum ne apni zaban kholi
jis mein sama gai hai sare jahan ki boli
jis ki har ek sifat hai sau KHubiyon pe bhaari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
jis se miTa jahaalat ki raat ka andhera
hindostan mein chamka tahzib ka sawera
hai jis ki raushni ka har ghar mein faiz jari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
wo 'krishn' hon ki 'bedi' 'chakbast' hon ki 'talib'
'mahrum' hon ki 'haali' 'iqbaal' hon ki 'ghaalib'
sadiyon har ahl-e-mazhab jis ka raha pujari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
jis ne KHulus-e-dil se ai 'kaif' sab ko pala
jis ka har ek ghar mein ab bhi hai bol-baala
dushman ke bhi dilon par hai jis ka KHauf tari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.