chahaton ka jahan hai urdu
chāhatoñ kā jahān hai urdu
rāhatoñ kā nishān hai urdu
ishq kā e'tibār aur vaqār
husn kī ān-bān hai urdu
dil-fazā zau-kada sabāhat kā
aur malāhat kī kaan hai urdu
nasr kā hai ḳhirām-e-ḳhush-hañgām
shā.irī kī uḌaan hai urdu
zinda hai apnā zauq-o-shauq is se
ārzūoñ kī jaan hai urdu
lutf hastī kā rañg mastī kā
ḳhushnumā kārvān hai urdu
zikr-e-ārā.ish-e-ḳham-e-kākul
kaif-e-hindostān hai urdu
daftar-e-ittihād-o-yak-jehtī
pyaar kī dāstān hai urdu
ektā hai anektā meñ bhī
dost-dārī kā maan hai urdu
'ġhālib'-o-'mīr' is ke shaidā the
jin kī rūh-e-ravān hai urdu
'ātish' o 'momin' o 'nazīr' o 'jigar'
jin kī rañgīñ zabān hai urdu
is ke āshiq 'nasīm' aur chakbast
jin ke jazboñ kī shaan shaan hai urdu
dost is ke 'surūr' aur 'sarshār'
is liye shādmān hai urdu
dard-mañd is ke 'premchand' rahe
jin ke baa.is javān hai urdu
is ke mushtāq 'mullā' aur 'firāq'
jin ke dil kā bayān hai urdu
na.ara-zan 'josh' kā ḳharosh is meñ
josh kī tarjumān hai urdu
'faiz' o 'iqbāl' o kirshn-chandar se
vus.at-e-be-karān hai urdu
dhuum 'mahrūm' kī huī is meñ
aur 'munavār' kī aan hai urdu
'rāshid' o 'mīrā-jī' kī albelī
shoḳh-adā rāzdān hai urdu
fitnat-o-fan kī daulat-e-bedār
'krishn-mohan' kī jaan hai urdu
chahaton ka jahan hai urdu
rahaton ka nishan hai urdu
ishq ka e'tibar aur waqar
husn ki aan-ban hai urdu
dil-faza zau-kada sabahat ka
aur malahat ki kan hai urdu
nasr ka hai KHiram-e-KHush-hangam
shairi ki uDan hai urdu
zinda hai apna zauq-o-shauq is se
aarzuon ki jaan hai urdu
lutf hasti ka rang masti ka
KHushnuma karwan hai urdu
zikr-e-araish-e-KHam-e-kakul
kaif-e-hindostan hai urdu
daftar-e-ittihad-o-yak-jehti
pyar ki dastan hai urdu
ekta hai anekta mein bhi
dost-dari ka man hai urdu
'ghaalib'-o-'mir' is ke shaida the
jin ki ruh-e-rawan hai urdu
'atish' o 'momin' o 'nazir' o 'jigar'
jin ki rangin zaban hai urdu
is ke aashiq 'nasim' aur chakbast
jin ke jazbon ki shan shan hai urdu
dost is ke 'surur' aur 'sarshaar'
is liye shadman hai urdu
dard-mand is ke 'premchand' rahe
jin ke bais jawan hai urdu
is ke mushtaq 'mulla' aur 'firaq'
jin ke dil ka bayan hai urdu
nara-zan 'josh' ka KHarosh is mein
josh ki tarjuman hai urdu
'faiz' o 'iqbaal' o kirshn-chandar se
wusat-e-be-karan hai urdu
dhum 'mahrum' ki hui is mein
aur 'munawar' ki aan hai urdu
'rashid' o 'mira-ji' ki albeli
shoKH-ada raazdan hai urdu
fitnat-o-fan ki daulat-e-bedar
'krishn-mohan' ki jaan hai urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.