achchhī urdu pyārī urdu
kuchh der to mujh se baat karo
jo niil gagan se aa.ī ho
to raushan merī raat karo
jo komal sundar laḌkī ho
to dil apnā sauġhāt karo
jo baazī rakkho chāhat kī
tum jiito ham ko maat karo
in phīke phīke lafzoñ par
sab bejā ḳhuub akaḌte haiñ
sab jānte haiñ tum boltī ho
to phuul laboñ se jhaḌte haiñ
sab apne adhūre jumloñ meñ
ye hiire motī jaḌte haiñ
sab tum se aañkh milāte haiñ
sab paañv tumhāre paḌte haiñ
ham ne to yahī dekhā hai yahāñ
jo tum ne kahā vo riit banā
ham ne to yahī samjhā hai yahāñ
sar tum ne diye sañgīt banā
ham ne to yahī jaanā hai yahāñ
tum se hī koī man miit banā
nazmoñ ne hameñ chūmā baḌh kar
aur mīThā sachchā giit banā
lekin ye tumhārī qismat hai
haat aa.ī hai aisī tanhā.ī
phirtī ho kahīñ maarī maarī
jo miltā hai so harjā.ī
har roz ke dhoke rāhoñ meñ
har roz jabīñ par rusvā.ī
har roz zarā sī ḳhush-fahmī
har roz kī mahfil-ārā.ī
jab duniyā ke in meloñ se
thak jaao to mire paas aanā
jab auroñ kī bāñhoñ se kabhī
uktāo to mire paas aanā
maiñ baḌh kar nazr utārūñgī
ghabrāo to mere paas aanā
marham se nahīñ bhar paa.e agar
ye ghaav to mere paas aanā
achchhī urdu pyārī urdu
achchhī urdu pyārī urdu
achchhi urdu pyari urdu
kuchh der to mujh se baat karo
jo nil gagan se aai ho
to raushan meri raat karo
jo komal sundar laDki ho
to dil apna saughat karo
jo bazi rakkho chahat ki
tum jito hum ko mat karo
in phike phike lafzon par
sab beja KHub akaDte hain
sab jaante hain tum bolti ho
to phul labon se jhaDte hain
sab apne adhure jumlon mein
ye hire moti jaDte hain
sab tum se aankh milate hain
sab panw tumhaare paDte hain
hum ne to yahi dekha hai yahan
jo tum ne kaha wo rit bana
hum ne to yahi samjha hai yahan
sar tum ne diye sangit bana
hum ne to yahi jaana hai yahan
tum se hi koi man mit bana
nazmon ne hamein chuma baDh kar
aur miTha sachcha git bana
lekin ye tumhaari qismat hai
hat aai hai aisi tanhai
phirti ho kahin mari mari
jo milta hai so harjai
har roz ke dhoke rahon mein
har roz jabin par ruswai
har roz zara si KHush-fahmi
har roz ki mahfil-arai
jab duniya ke in melon se
thak jao to mere pas aana
jab auron ki banhon se kabhi
uktao to mere pas aana
main baDh kar nazr utarungi
ghabrao to mere pas aana
marham se nahin bhar pae agar
ye ghaw to mere pas aana
achchhi urdu pyari urdu
achchhi urdu pyari urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.