Ezra-Pound ki maut par
Interesting Fact
(Funun, Lahore April, May 1973)
tujh ko kis phuul kā kafan ham deñ
tū judā aise mausamoñ meñ huā
jab daraḳhtoñ ke haath ḳhālī haiñ
intizār-e-bahār bhī karte
dāman-e-chāk se agar apne
koī paimān phuul kā hotā
aa tujhe tere sabz lafzoñ meñ
dafn kar deñ ki tere fan jaisī
dahr meñ koī nau-bahār nahīñ
tujh ko kis phul ka kafan hum den
tu juda aise mausamon mein hua
jab daraKHton ke hath KHali hain
intizar-e-bahaar bhi karte
daman-e-chaak se agar apne
koi paiman phul ka hota
aa tujhe tere sabz lafzon mein
dafn kar den ki tere fan jaisi
dahr mein koi nau-bahaar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.