ustad hamare
ustād ye qaumoñ ke haiñ me.amār hamāre
in hī se haiñ afrād ziyā-bār hamāre
jiine kā salīqa bhī hameñ in se milā hai
ehsās-e-amal fikr bhī in hī kī atā hai
in hī kī hai ta.alīm jo irfān-e-ḳhudā hai
in hī se mo.attar hue afkār hamāre
ustād ye qaumoñ ke haiñ me.amār hamāre
tārīk hoñ rāheñ to yahī raah sujhā.eñ
asrār-e-do-ālam se ye pardoñ ko uThā.eñ
soī huī qaumoñ meñ ye himmat ko jagā.eñ
rahbar bhī ye hamdam bhī ye ġham-ḳhvār hamāre
ustād ye qaumoñ ke haiñ me.amār hamāre
ik nuur kā mīnār lab-e-sāhil-e-dariyā
ik mash.al-e-bedār sar-e-vādī-e-sahrā
hai zulmat-e-āfāq meñ bas ek sitāra
haiñ dast-nigar in ke hī shahkār hamāre
ustād ye qaumoñ ke haiñ me.amār hamāre
ustad ye qaumon ke hain meamar hamare
in hi se hain afrad ziya-bar hamare
jine ka saliqa bhi hamein in se mila hai
ehsas-e-amal fikr bhi in hi ki ata hai
in hi ki hai talim jo irfan-e-KHuda hai
in hi se moattar hue afkar hamare
ustad ye qaumon ke hain meamar hamare
tarik hon rahen to yahi rah sujhaen
asrar-e-do-alam se ye pardon ko uThaen
soi hui qaumon mein ye himmat ko jagaen
rahbar bhi ye hamdam bhi ye gham-KHwar hamare
ustad ye qaumon ke hain meamar hamare
ek nur ka minar lab-e-sahil-e-dariya
ek mashal-e-bedar sar-e-wadi-e-sahra
hai zulmat-e-afaq mein bas ek sitara
hain dast-nigar in ke hi shahkar hamare
ustad ye qaumon ke hain meamar hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.