ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna
kitnī mohabbatoñ se pahlā sabaq paḌhāyā
maiñ kuchh na jāntā thā sab kuchh mujhe sikhāyā
an-paḌh thā aur jāhil qābil mujhe banāyā
duniyā-e-ilm-o-dānish kā rāsta dikhāyā
ai dosto mileñ to bas ik payām kahnā
ustād-e-mohtaram ko merā salām kahnā
mujh ko ḳhabar nahīñ thī aayā huuñ maiñ kahāñ se
maañ baap is zamīñ par laa.e the āsmāñ se
pahuñchā diyā falak tak ustād ne yahāñ se
vāqif na thā zarā bhī itne baḌe jahāñ se
mujh ko dilāyā kitnā achchhā maqām kahnā
ustād-e-mohtaram ko merā salām kahnā
jiine kā fan sikhāyā marne kā bāñkpan bhī
izzat ke gur batā.e rusvā.ī ke chalan bhī
kāñTe bhī raah meñ haiñ phūloñ kī anjuman bhī
tum faḳhr-e-qaum banñā aur nāzish-e-vatan bhī
hai yaad mujh ko un kā ek ik kalām kahnā
ustād-e-mohtaram ko merā salām kahnā
jo ilm kā alam hai ustād kī atā hai
hāthoñ meñ jo qalam hai ustād kī atā hai
jo fikr-e-tāza-dam hai ustād kī atā hai
jo kuchh kiyā raqam hai ustād kī atā hai
un kī atā se chamkā 'hātib' kā naam kahnā
ustād-e-mohtaram ko merā salām kahnā
kitni mohabbaton se pahla sabaq paDhaya
main kuchh na jaanta tha sab kuchh mujhe sikhaya
an-paDh tha aur jahil qabil mujhe banaya
duniya-e-ilm-o-danish ka rasta dikhaya
ai dosto milen to bas ek payam kahna
ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna
mujh ko KHabar nahin thi aaya hun main kahan se
man bap is zamin par lae the aasman se
pahuncha diya falak tak ustad ne yahan se
waqif na tha zara bhi itne baDe jahan se
mujh ko dilaya kitna achchha maqam kahna
ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna
jine ka fan sikhaya marne ka bankpan bhi
izzat ke gur batae ruswai ke chalan bhi
kanTe bhi rah mein hain phulon ki anjuman bhi
tum faKHr-e-qaum banna aur nazish-e-watan bhi
hai yaad mujh ko un ka ek ek kalam kahna
ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna
jo ilm ka alam hai ustad ki ata hai
hathon mein jo qalam hai ustad ki ata hai
jo fikr-e-taza-dam hai ustad ki ata hai
jo kuchh kiya raqam hai ustad ki ata hai
un ki ata se chamka 'hatib' ka nam kahna
ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.