hamare ustad
kitnī mehnat se paḌhāte haiñ hamāre ustād
ham ko har ilm sikhāte haiñ hamāre ustād
toḌ dete haiñ jahālat ke añdheroñ kā tilism
ilm kī sham.a jalāte haiñ hamāre ustād
manzil-e-ilm ke ham log musāfir haiñ magar
rāsta ham ko dikhāte haiñ hamāre ustād
zindagī naam hai kāñToñ ke safar kā lekin
raah meñ phuul bichhāte haiñ hamāre ustād
dil meñ har lamha taraqqī kī duā karte haiñ
ham ko aage hī baḌhāte haiñ hamāre ustād
sab ko tahzīb-o-tamaddun kā sabaq dete haiñ
ham ko insān banāte haiñ hamāre ustād
ham ko dete haiñ ba-har-lamha payām-e-ta.alīm
achchhī bāteñ hī batāte haiñ hamāre ustād
ḳhud to rahte haiñ bahut tañg-o-pareshān magar
daulat-e-ilm luTāte haiñ hamāre ustād
ham pe lāzim hai ki ham log kareñ un kā adab
kis mohabbat se baḌhāte haiñ hamāre ustād
kitni mehnat se paDhate hain hamare ustad
hum ko har ilm sikhate hain hamare ustad
toD dete hain jahaalat ke andheron ka tilism
ilm ki shama jalate hain hamare ustad
manzil-e-ilm ke hum log musafir hain magar
rasta hum ko dikhate hain hamare ustad
zindagi nam hai kanTon ke safar ka lekin
rah mein phul bichhate hain hamare ustad
dil mein har lamha taraqqi ki dua karte hain
hum ko aage hi baDhate hain hamare ustad
sab ko tahzib-o-tamaddun ka sabaq dete hain
hum ko insan banate hain hamare ustad
hum ko dete hain ba-har-lamha payam-e-talim
achchhi baaten hi batate hain hamare ustad
KHud to rahte hain bahut tang-o-pareshan magar
daulat-e-ilm luTate hain hamare ustad
hum pe lazim hai ki hum log karen un ka adab
kis mohabbat se baDhate hain hamare ustad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.