talib-ilmon ke nam
ḳhudā bhī apnī rahmat se tumhārī jholī bhar degā
tum apnī apnī roTī kā nivāla bāñTte rahnā
yahāñ se paḌh ke jaane vaalo tum ho jal rahe dīpak
jahāñ dekho añdherā hai ujālā bāñTte rahnā
tum apnī muskurāhaT ko gale kā haar kar denā
har ik vīrān ghar mahkā huā gulzār kar denā
hamāre rang-birange mahakte phūlo jidhar jaao
tum apnī mahak se māhaul ḳhushbū-dār kar denā
KHuda bhi apni rahmat se tumhaari jholi bhar dega
tum apni apni roTi ka niwala banTte rahna
yahan se paDh ke jaane walo tum ho jal rahe dipak
jahan dekho andhera hai ujala banTte rahna
tum apni muskurahaT ko gale ka haar kar dena
har ek viran ghar mahka hua gulzar kar dena
hamare rang-birange mahakte phulo jidhar jao
tum apni mahak se mahaul KHushbu-dar kar dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.