waba ke dinon mein mohabbat
vabā ke dinoñ meñ mohabbat salīqa-shi.ārī sikhātī hai
bātoñ meñ ik tāzgī kī ghulāvaT
hañsī meñ chhupā ijtimā.ī ta.assuf dikhātī hai
ham baat karne ke mauzūa poroñ pe ginte haiñ
chehroñ pe phaile hue mask ham kam-numāoñ meñ ḳhud-e'timādī baḌhāte haiñ
ham apne hāthoñ pe dastāne khīñche kisī lams kī yaad meñ tamtamāte haiñ
bistar kī garmī se lipTe hue ḳhud ko mahfūz kahte haiñ
ḳhvāboñ kī vaccine se dil tasallī kā sāmān karte hue
ik mohabbat ke donoñ kināre milāte haiñ
lekin bahalte nahīñ haiñ
vabā ke dinoñ meñ ham apne gharoñ se nikalte nahīñ haiñ
waba ke dinon mein mohabbat saliqa-shiari sikhati hai
baaton mein ek tazgi ki ghulawaT
hansi mein chhupa ijtimai tassuf dikhati hai
hum baat karne ke mauzua poron pe ginte hain
chehron pe phaile hue mask hum kam-numaon mein KHud-e'timadi baDhate hain
hum apne hathon pe dastane khinche kisi lams ki yaad mein tamtamate hain
bistar ki garmi se lipTe hue KHud ko mahfuz kahte hain
KHwabon ki waccine se dil tasalli ka saman karte hue
ek mohabbat ke donon kinare milate hain
lekin bahalte nahin hain
waba ke dinon mein hum apne gharon se nikalte nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.