ek nadan nazm
habīb-e-jāñ
tum agar vabā ke dinoñ meñ aa.e
to ba-sad aqīdat-o-mohabbat
tumhāre haath chūmūñgī
kyūñki ye mere masīhā ke haath haiñ
tumhārī chādar ko apne hāthoñ se
tah kar ke apne sirhāne rakhūñgī
ki is bakal kī harārat mujh par
kashf ke dar kholtī hai
tumhāre jūtoñ ko qarīne se joḌ
kar palañg ke paas rakhūñgī
tumhāre saath ek plate meñ
khānā khā.ūñgī
aur tumhārī ziddī nazroñ kā
bharam rakhūñgī
na-jāne mujhe kyoñ lagtā hai
ki vabā kī aañkh meñ
mohabbat karne vāloñ ke liye
kuchh hayā baaqī hogī
habib-e-jaan
tum agar waba ke dinon mein aae
to ba-sad aqidat-o-mohabbat
tumhaare hath chumungi
kyunki ye mere masiha ke hath hain
tumhaari chadar ko apne hathon se
tah kar ke apne sirhane rakhungi
ki is bakal ki hararat mujh par
kashf ke dar kholti hai
tumhaare juton ko qarine se joD
kar palang ke pas rakhungi
tumhaare sath ek plate mein
khana khaungi
aur tumhaari ziddi nazron ka
bharam rakhungi
na-jaane mujhe kyon lagta hai
ki waba ki aankh mein
mohabbat karne walon ke liye
kuchh haya baqi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.