KHuda ka sawal
mire rab kī mujh par ināyat huī
kahūñ bhī to kaise ibādat huī
haqīqat huī jaise mujh par ayaañ
qalam ban gayā hai ḳhudā kī zabāñ
muḳhātib hai bande se parvardigār
tū husn-e-chaman tū hī rang-e-bahār
tū me.arāj-e-fan tū hī fan kā siñghār
musavvir huuñ maiñ tū mirā shāhkār
ye sub.heñ ye shāmeñ ye din aur raat
ye rangīn dilkash hasīñ kā.enāt
ki hūr-o-malā.ik vo jinnāt meñ
kiyā hai tujhe ashraf-ul-maḳhluqāt
mirī azmatoñ kā havāla hai tū
tū hī raushnī hai ujālā hai tū
farishtoñ se sajda bhī karvā diyā
ki tere liye maiñ ne kyā na kiyā
ye duniyā jahāñ bazm-ārā.īyāñ
ye mahfil ye mele ye tanhā.iyāñ
falak kā tujhe shāmiyāna diyā
zamīñ par tujhe āb-o-dāna diyā
mile ābshāroñ se bhī hausle
pahāḌoñ meñ tujh ko diye rāste
ye paanī havā aur ye shams-o-qamar
ye mauj-e-ravāñ ye kināra bhañvar
ye shāḳhoñ pe ġhunche chaTaḳhte hue
falak pe sitāre chamakte hue
ye sabze ye phūloñ-bharī kyāriyāñ
ye panchhī ye uḌtī huī titliyāñ
ye sho.ala ye shabnam ye miTTī ye sang
ye jharnoñ ke bajte hue jal-tarañg
ye jhīloñ meñ hañste hue se kañval
ye dhartī pe mausam kī likkhī ġhazal
ye sardī ye garmī ye bārish ye dhuup
ye chehra ye qad aur ye rañg-rūp
darindoñ charindoñ pe qaabū diyā
tujhe bhaa.ī de kar ke baazū diyā
bahan dī tujhe aur sharīk-e-safar
ye rishte ye naate gharānā ye ghar
ki aulād bhī dī diye vāldain
alif laam miim kaaf aur ain ġhain
ye aql-o-zahānat shu.ūr-o-nazar
ye bastī ye sahrā ye ḳhushkī ye tar
aur is par kitāb-e-hidāyat bhī dī
nabī bhī utāre sharī.at bhī dī
ġharaz ki sabhī kuchh hai tere liye
batā kyā kiyā tū ne mere liye
mere rab ki mujh par inayat hui
kahun bhi to kaise ibaadat hui
haqiqat hui jaise mujh par ayan
qalam ban gaya hai KHuda ki zaban
muKHatib hai bande se parwardigar
tu husn-e-chaman tu hi rang-e-bahaar
tu mearaj-e-fan tu hi fan ka singhaar
musawwir hun main tu mera shahkar
ye subhen ye shamen ye din aur raat
ye rangin dilkash hasin kaenat
ki hur-o-malaik wo jinnat mein
kiya hai tujhe ashraf-ul-maKHluqat
meri azmaton ka hawala hai tu
tu hi raushni hai ujala hai tu
farishton se sajda bhi karwa diya
ki tere liye main ne kya na kiya
ye duniya jahan bazm-araiyan
ye mahfil ye mele ye tanhaiyan
falak ka tujhe shamiyana diya
zamin par tujhe aab-o-dana diya
mile aabshaaron se bhi hausle
pahaDon mein tujh ko diye raste
ye pani hawa aur ye shams-o-qamar
ye mauj-e-rawan ye kinara bhanwar
ye shaKHon pe ghunche chaTaKHte hue
falak pe sitare chamakte hue
ye sabze ye phulon-bhari kyariyan
ye panchhi ye uDti hui titliyan
ye shoala ye shabnam ye miTTi ye sang
ye jharnon ke bajte hue jal-tarang
ye jhilon mein hanste hue se kanwal
ye dharti pe mausam ki likkhi ghazal
ye sardi ye garmi ye barish ye dhup
ye chehra ye qad aur ye rang-rup
darindon charindon pe qabu diya
tujhe bhai de kar ke bazu diya
bahan di tujhe aur sharik-e-safar
ye rishte ye nate gharana ye ghar
ki aulad bhi di diye waldain
alif lam mim kaf aur ain ghain
ye aql-o-zahanat shuur-o-nazar
ye basti ye sahra ye KHushki ye tar
aur is par kitab-e-hidayat bhi di
nabi bhi utare shariat bhi di
gharaz ki sabhi kuchh hai tere liye
bata kya kiya tu ne mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.