aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya
Sahir Ludhianvi
MORE BYSahir Ludhianvi
aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyā
jab jī chāhā maslā kuchlā jab jī chāhā dhutkār diyā
tultī hai kahīñ dīnāroñ meñ biktī hai kahīñ bāzāroñ meñ
nañgī nachvā.ī jaatī hai ayyāshoñ ke darbāroñ meñ
ye vo be-izzat chiiz hai jo baT jaatī hai izzat-dāroñ meñ
aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyā
mardoñ ke liye har zulm ravā aurat ke liye ronā bhī ḳhatā
mardoñ ke liye har aish kā haq aurat ke liye jiinā bhī sazā
mardoñ ke liye lākhoñ sejeñ, aurat ke liye bas ek chitā
aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyā
jin sīnoñ ne in ko duudh diyā un sīnoñ ko bevpār kiyā
jis kokh meñ in kā jism Dhalā us kokh kā kārobār kiyā
jis tan se uge koñpal ban kar us tan ko zalīl-o-ḳhvār kiyā
sansār kī har ik be-sharmī ġhurbat kī god meñ paltī hai
chakloñ hī meñ aa kar ruktī hai fāqoñ se jo raah nikaltī hai
mardoñ kī havas hai jo aksar aurat ke paap meñ Dhaltī hai
aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyā
aurat sansār kī qismat hai phir bhī taqdīr kī heTī hai
autār payambar jannatī hai phir bhī shaitān kī beTī hai
ye vo bad-qismat maañ hai jo beToñ kī sej pe leTī hai
aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyā
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya
jab ji chaha masla kuchla jab ji chaha dhutkar diya
tulti hai kahin dinaron mein bikti hai kahin bazaron mein
nangi nachwai jati hai ayyashon ke darbaron mein
ye wo be-izzat chiz hai jo baT jati hai izzat-daron mein
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya
mardon ke liye har zulm rawa aurat ke liye rona bhi KHata
mardon ke liye har aish ka haq aurat ke liye jina bhi saza
mardon ke liye lakhon sejen, aurat ke liye bas ek chita
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya
jin sinon ne in ko dudh diya un sinon ko bewpar kiya
jis kokh mein in ka jism Dhala us kokh ka karobar kiya
jis tan se uge konpal ban kar us tan ko zalil-o-KHwar kiya
sansar ki har ek be-sharmi ghurbat ki god mein palti hai
chaklon hi mein aa kar rukti hai faqon se jo rah nikalti hai
mardon ki hawas hai jo aksar aurat ke pap mein Dhalti hai
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya
aurat sansar ki qismat hai phir bhi taqdir ki heTi hai
autar payambar jannati hai phir bhi shaitan ki beTi hai
ye wo bad-qismat man hai jo beTon ki sej pe leTi hai
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya
- Book : kulliyat-e-sahir (Pg. 475)
- Author : sahir ludhianvi
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.