aadmi-nama
Interesting Fact
ٓA popular nazm later used in a Hindi film 'Duniya Jhukti Hai'.
duniyā meñ pādshah hai so hai vo bhī aadmī
aur muflis-o-gadā hai so hai vo bhī aadmī
zardār-e-be-navā hai so hai vo bhī aadmī
nemat jo khā rahā hai so hai vo bhī aadmī
TukḌe chabā rahā hai so hai vo bhī aadmī
abdāl, qutub o ġhaus valī-ādmī hue
munkir bhī aadmī hue aur kufr ke bhare
kyā kyā karishme kashf-o-karāmāt ke liye
hattā ki apne zohd-o-riyāzat ke zor se
ḳhāliq se jā milā hai so hai vo bhī aadmī
fir.aun ne kiyā thā jo da.avā ḳhudā.ī kā
shaddād bhī bahisht banā kar huā ḳhudā
namrūd bhī ḳhudā hī kahātā thā barmalā
ye baat hai samajhne kī aage kahūñ maiñ kyā
yaañ tak jo ho chukā hai so hai vo bhī aadmī
kul aadmī kā husn o qubah meñ hai yaañ zuhūr
shaitāñ bhī aadmī hai jo kartā hai makr-o-zor
aur haadī rahnumā hai so hai vo bhī aadmī
masjid bhī aadmī ne banā.ī hai yaañ miyāñ
bante haiñ aadmī hī imaam aur ḳhutba-ḳhvāñ
paḌhte haiñ aadmī hī qur.ān aur namāziyāñ
aur aadmī hī un kī churāte haiñ jūtiyāñ
jo un ko tāḌtā hai so hai vo bhī aadmī
yaañ aadmī pe jaan ko vaare hai aadmī
aur aadmī pe teġh ko maare hai aadmī
pagḌī bhī aadmī kī utāre hai aadmī
chillā ke aadmī ko pukāre hai aadmī
aur sun ke dauḌtā hai so hai vo bhī aadmī
chaltā hai aadmī hī musāfir ho le ke maal
aur aadmī hī maare hai phāñsī gale meñ Daal
yaañ aadmī hī said hai aur aadmī hī jaal
sachchā bhī aadmī hī nikaltā hai mere laal
aur jhuuT kā bharā hai so hai vo bhī aadmī
yaañ aadmī hī shādī hai aur aadmī biyāh
qaazī vakīl aadmī aur aadmī gavāh
tāshe bajāte aadmī chalte haiñ ḳhvāh-maḳhvāh
dauḌe haiñ aadmī hī to mash.al jalā ke raah
aur byāhane chaḌhā hai so hai vo bhī aadmī
yaañ aadmī naqīb ho bole hai baar baar
aur aadmī hī payāde haiñ aur aadmī savār
huqqa surāhī jūtiyāñ dauḌeñ baġhal meñ maar
kāñdhe pe rakh ke pālkī haiñ dauḌte kahār
aur us meñ jo paḌā hai so hai vo bhī aadmī
baiThe haiñ aadmī hī dukāneñ lagā lagā
aur aadmī hī phirte haiñ rakh sar pe khūnchā
kahtā hai koī lo koī kahtā hai lā re lā
kis kis tarah kī becheñ haiñ chīzeñ banā banā
aur mol le rahā hai so hai vo aadmī
table majīre dā.ere sārañgiyāñ bajā
gaate haiñ aadmī hī har ik tarah jā-ba-jā
ranDī bhī aadmī hī nachāte haiñ gat lagā
aur aadmī hī nāche haiñ aur dekh phir mazā
jo naach dekhtā hai so hai vo bhī aadmī
yaañ aadmī hī la.al-o-javāhar meñ be-bahā
aur aadmī hī ḳhaak se bad-tar hai ho gayā
kaalā bhī aadmī hai ki ulTā hai juuñ tavā
gorā bhī aadmī hai ki TukḌā hai chāñd-sā
bad-shakl bad-numā hai so hai vo bhī aadmī
ik aadmī haiñ jin ke ye kuchh zarq-barq haiñ
ruupe ke jin ke paañv haiñ sone ke farq haiñ
jhamke tamām ġharb se le tā-ba-sharq haiñ
kam-ḳhvāb taash shaal do-shāloñ meñ ġharq haiñ
aur chīthaḌoñ lagā hai so hai vo bhī aadmī
hairāñ huuñ yaaro dekho to kyā ye svāñg hai
aur aadmī hī chor hai aur aapī thāng hai
hai chhīnā jhapTī aur baañg taañg hai
dekhā to aadmī hī yahāñ misl-e-rāñg hai
faulād se gaḌhā hai so hai vo bhī aadmī
marne meñ aadmī hī kafan karte haiñ tayār
nahlā-dhulā uThāte haiñ kāñdhe pe kar savār
kalma bhī paḌhte jaate haiñ rote haiñ zār-zār
sab aadmī hī karte haiñ murde ke kārobār
aur vo jo mar gayā hai so hai vo bhī aadmī
ashrāf aur kamīne se le shāh-tā-vazīr
ye aadmī hī karte haiñ sab kār-e-dil-pazīr
yaañ aadmī murīd hai aur aadmī hī piir
achchhā bhī aadmī hī kahātā hai ai 'nazīr'
aur sab meñ jo burā hai so hai vo bhī aadmī
duniya mein padshah hai so hai wo bhi aadmi
aur muflis-o-gada hai so hai wo bhi aadmi
zardar-e-be-nawa hai so hai wo bhi aadmi
nemat jo kha raha hai so hai wo bhi aadmi
TukDe chaba raha hai so hai wo bhi aadmi
abdal, qutub o ghaus wali-admi hue
munkir bhi aadmi hue aur kufr ke bhare
kya kya karishme kashf-o-karamat ke liye
hatta ki apne zohd-o-riyazat ke zor se
KHaliq se ja mila hai so hai wo bhi aadmi
firaun ne kiya tha jo dawa KHudai ka
shaddad bhi bahisht bana kar hua KHuda
namrud bhi KHuda hi kahata tha barmala
ye baat hai samajhne ki aage kahun main kya
yan tak jo ho chuka hai so hai wo bhi aadmi
kul aadmi ka husn o qubah mein hai yan zuhur
shaitan bhi aadmi hai jo karta hai makr-o-zor
aur hadi rahnuma hai so hai wo bhi aadmi
masjid bhi aadmi ne banai hai yan miyan
bante hain aadmi hi imam aur KHutba-KHwan
paDhte hain aadmi hi quran aur namaziyan
aur aadmi hi un ki churaate hain jutiyan
jo un ko taDta hai so hai wo bhi aadmi
yan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi
aur aadmi pe tegh ko mare hai aadmi
pagDi bhi aadmi ki utare hai aadmi
chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi
aur sun ke dauDta hai so hai wo bhi aadmi
chalta hai aadmi hi musafir ho le ke mal
aur aadmi hi mare hai phansi gale mein Dal
yan aadmi hi said hai aur aadmi hi jal
sachcha bhi aadmi hi nikalta hai mere lal
aur jhuT ka bhara hai so hai wo bhi aadmi
yan aadmi hi shadi hai aur aadmi biyah
qazi wakil aadmi aur aadmi gawah
tashe bajate aadmi chalte hain KHwah-maKHwah
dauDe hain aadmi hi to mashal jala ke rah
aur byahane chaDha hai so hai wo bhi aadmi
yan aadmi naqib ho bole hai bar bar
aur aadmi hi payaade hain aur aadmi sawar
huqqa surahi jutiyan dauDen baghal mein mar
kandhe pe rakh ke palki hain dauDte kahaar
aur us mein jo paDa hai so hai wo bhi aadmi
baiThe hain aadmi hi dukanen laga laga
aur aadmi hi phirte hain rakh sar pe khuncha
kahta hai koi lo koi kahta hai la re la
kis kis tarah ki bechen hain chizen bana bana
aur mol le raha hai so hai wo aadmi
table majire daere sarangiyan baja
gate hain aadmi hi har ek tarah ja-ba-ja
ranDi bhi aadmi hi nachate hain gat laga
aur aadmi hi nache hain aur dekh phir maza
jo nach dekhta hai so hai wo bhi aadmi
yan aadmi hi lal-o-jawahar mein be-baha
aur aadmi hi KHak se bad-tar hai ho gaya
kala bhi aadmi hai ki ulTa hai jun tawa
gora bhi aadmi hai ki TukDa hai chand-sa
bad-shakl bad-numa hai so hai wo bhi aadmi
ek aadmi hain jin ke ye kuchh zarq-barq hain
rupe ke jin ke panw hain sone ke farq hain
jhamke tamam gharb se le ta-ba-sharq hain
kam-KHwab tash shaal do-shaalon mein gharq hain
aur chithaDon laga hai so hai wo bhi aadmi
hairan hun yaro dekho to kya ye swang hai
aur aadmi hi chor hai aur aapi thang hai
hai chhina jhapTi aur bang tang hai
dekha to aadmi hi yahan misl-e-rang hai
faulad se gaDha hai so hai wo bhi aadmi
marne mein aadmi hi kafan karte hain tayar
nahla-dhula uThate hain kandhe pe kar sawar
kalma bhi paDhte jate hain rote hain zar-zar
sab aadmi hi karte hain murde ke karobar
aur wo jo mar gaya hai so hai wo bhi aadmi
ashraf aur kamine se le shah-ta-wazir
ye aadmi hi karte hain sab kar-e-dil-pazir
yan aadmi murid hai aur aadmi hi pir
achchha bhi aadmi hi kahata hai ai 'nazir'
aur sab mein jo bura hai so hai wo bhi aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.