baDa shahr
karachi kisī dev-qad kekḌe kī tarah
samundar ke sāhil pe paañv pasāre paḌā hai
naseñ us kī faulād-o-āhan
badan ret cement patthar
baseñ Texiyāñ kāreñ rickshaw ragoñ meñ lahū kī bajā.e ravāñ
jism par jā-ba-jā daaġh daldal-numā
jahāñ ankabūt apne tāroñ se bunte haiñ bankoñ ke jaal
ki un meñ shumāl aur mashriq se aa.e hue
ishtihā aur ḳhvāboñ ke maare magas
phaḌ.phaḌāte raheñ
mustaqil ālam-e-jāñ-kanī meñ raheñ
shaam hote hī is kī nam-ālūd aur khurdurī khaal se
is ke be-Dhañg a.azā se
ishva-faroshoñ ke pairāhanoñ kī tarah
raushnī phūTtī hai
ye vo shahr-e-ḳhud-mutma.in hai
jo apne hī dil kī shaqāvat pe shaidā rahā
maiñ chāhat ke phūloñ bhare jañgaloñ se jab aayā
to is shahr kī piiTh
majlis kī dīvār kī tarah merī taraf thī
maiñ shiddat kī tanhā.ī meñ
āshnā harf kā ārzū-mand
paiham taġhāful se ranjīda be-dil
yahāñ ke rusūm aur ādāb se be-ḳhabar
nāḳhunoñ se zamīn khod kar
āñsuoñ kī namī se use sīñch kar
harf kaliyoñ kī ummīd meñ
dard boltā rahā
ka.ī baar maiñ ne samundar kī bhīgī havāoñ se pūchhā
ki ai ḳhush-nafas rahravo
tum is tarah begāna-vash kyuuñ guzartī ho
pal bhar ruko
koī taskīñ kā paiġhām do
aur apnā ye amrit sā haath
dukhe dil pe rakh do
pa vo shahr kī saañs meñ
enginoñ ke dhueñ kī kasāfat se afsurda
āñkheñ churā.e guzartī rahīñ
ka.ī baar yuuñ bhī huā hai
ki maiñ aur ye shahr ik mushtarak dukh kī zanjīr meñ bañdh ga.e
aur mujhe ye gumāñ sā huā
ki ab ajnabiyyat kī dīvār girne ko hai
abhī us kī namnāk āñkheñ kaheñgī ki ham ek haiñ
lamha-e-dard kā saath sab se baḌā saath hai
magar maiñ ne dekhā ki is vaqt bhī
us kī pathrā.ī āñkhoñ meñ
aks-e-shanāsā.ī nāpaid thā
aur ab jab maiñ is shahr se jā rahā huuñ
to is kī darāñtī sī bāñhoñ ke dandāne
mere rag-o-pai meñ utre hue haiñ
karachi kisi dew-qad kekDe ki tarah
samundar ke sahil pe panw pasare paDa hai
nasen us ki faulad-o-ahan
badan ret cement patthar
basen Texiyan karen rickshaw ragon mein lahu ki bajae rawan
jism par ja-ba-ja dagh daldal-numa
jahan ankabut apne taron se bunte hain bankon ke jal
ki un mein shumal aur mashriq se aae hue
ishtiha aur KHwabon ke mare magas
phaDphaDate rahen
mustaqil aalam-e-jaan-kani mein rahen
sham hote hi is ki nam-alud aur khurduri khaal se
is ke be-Dhang aaza se
ishwa-faroshon ke pairahanon ki tarah
raushni phuTti hai
ye wo shahr-e-KHud-mutmain hai
jo apne hi dil ki shaqawat pe shaida raha
main chahat ke phulon bhare jangalon se jab aaya
to is shahr ki piTh
majlis ki diwar ki tarah meri taraf thi
main shiddat ki tanhai mein
aashna harf ka aarzu-mand
paiham taghaful se ranjida be-dil
yahan ke rusum aur aadab se be-KHabar
naKHunon se zamin khod kar
aansuon ki nami se use sinch kar
harf kaliyon ki ummid mein
dard bolta raha
kai bar main ne samundar ki bhigi hawaon se puchha
ki ai KHush-nafas rahrawo
tum is tarah begana-wash kyun guzarti ho
pal bhar ruko
koi taskin ka paigham do
aur apna ye amrit sa hath
dukhe dil pe rakh do
pa wo shahr ki sans mein
enginon ke dhuen ki kasafat se afsurda
aankhen churae guzarti rahin
kai bar yun bhi hua hai
ki main aur ye shahr ek mushtarak dukh ki zanjir mein bandh gae
aur mujhe ye guman sa hua
ki ab ajnabiyyat ki diwar girne ko hai
abhi us ki namnak aankhen kahengi ki hum ek hain
lamha-e-dard ka sath sab se baDa sath hai
magar main ne dekha ki is waqt bhi
us ki pathrai aankhon mein
aks-e-shanasai napaid tha
aur ab jab main is shahr se ja raha hun
to is ki daranti si banhon ke dandane
mere rag-o-pai mein utre hue hain
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 240)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.