shahidon ko salam
saarī musībatoñ ko jo hañs hañs ke sah ga.e
dār-e-fanā meñ sirf vahī zinda rah ga.e
vo josh thā ki phāñd ga.e kohsār bhī
vo azm thā ki uTThe to tā-mehr-o-mah ga.e
sīnoñ meñ sabr-o-zabt kī vo tez aag thī
zulm-o-sitam ke koh-e-girāñ gal ke bah ga.e
tārīkiyoñ ko matla-e-anvār kah ga.e
zulm-o-sitam ko tāla-e-bedār kah ga.e
tā-umr yuuñ to mohr-ba-lab hī rahe magar
afsāna-e-bulandī-e-kirdār kah ga.e
aa.ī koī balā to lagāyā use gale
TuuTā koī sitam to use pyaar kah ga.e
kaḌkī kamāñ to us ko kiyā naġhma-e-hayāt
ḳhanjar kabhī chubhā to use ḳhaar kah ga.e
roke ga.e to aur baḌhī quvvat-e-amal
zaḳhmī hue to jism ko gulnār kah ga.e
tauq-o-rasan ko naam diyā zulf dost kā
zindāñ ko sāya-e-mizha-e-yār kah ga.e
husn-e-hayāt ke vo adā-āshnā ki jo
har qatl-gah ko misr kā bāzār kah ga.e
kis ān-bān ke vo shahīdān-e-qaum the
jo teġh ko bhī abrū-e-ḳhamdār kah ga.e
yādash-ba-ḳhair ḳhāk-e-vatan terī god meñ
kyā log the jo daar ko dildār kah ga.e
sari musibaton ko jo hans hans ke sah gae
dar-e-fana mein sirf wahi zinda rah gae
wo josh tha ki phand gae kohsar bhi
wo azm tha ki uTThe to ta-mehr-o-mah gae
sinon mein sabr-o-zabt ki wo tez aag thi
zulm-o-sitam ke koh-e-giran gal ke bah gae
tarikiyon ko matla-e-anwar kah gae
zulm-o-sitam ko tala-e-bedar kah gae
ta-umr yun to mohr-ba-lab hi rahe magar
afsana-e-bulandi-e-kirdar kah gae
aai koi bala to lagaya use gale
TuTa koi sitam to use pyar kah gae
kaDki kaman to us ko kiya naghma-e-hayat
KHanjar kabhi chubha to use KHar kah gae
roke gae to aur baDhi quwwat-e-amal
zaKHmi hue to jism ko gulnar kah gae
tauq-o-rasan ko nam diya zulf dost ka
zindan ko saya-e-mizha-e-yar kah gae
husn-e-hayat ke wo ada-ashna ki jo
har qatl-gah ko misr ka bazar kah gae
kis aan-ban ke wo shahidan-e-qaum the
jo tegh ko bhi abru-e-KHamdar kah gae
yaadash-ba-KHair KHak-e-watan teri god mein
kya log the jo dar ko dildar kah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.