rang laega shahidon ka lahu
ye lahū surḳhī hai āzādī ke afsāne kī
ye shafaq-rang lahū
rang lā.egā shahīdoñ kā lahū
jis ke har qatre meñ ḳhurshīd ka.ī
jis kī har buuñd meñ ik sub.h na.ī
duur jis sub.h-e-daraḳhshāñ se añdherā hogā
raat kaT jā.egī gul-rang saverā hogā
rang lā.egā shahīdoñ kā lahū
apnī raftār ko ab aur zarā tez karo
apne jazbāt ko ab aur junūñ-ḳhez karo
ek do gaam pe ab manzil-e-āzādī hai
aag aur ḳhuuñ ke udhar amn kī ābādī hai
ḳhud-baḳhud TuuT ke girtī nahīñ zanjīr kabhī
badlī jaatī hai badaltī nahīñ taqdīr kabhī
rang lā.egā shahīdoñ kā lahū
ye lahū surḳhī hai āzādī ke afsāne kī
ye shafaq-rang lahū
rang lā.egā shahīdoñ kā lahū
ye lahu surKHi hai aazadi ke afsane ki
ye shafaq-rang lahu
rang laega shahidon ka lahu
jis ke har qatre mein KHurshid kai
jis ki har bund mein ek subh nai
dur jis subh-e-daraKHshan se andhera hoga
raat kaT jaegi gul-rang sawera hoga
rang laega shahidon ka lahu
apni raftar ko ab aur zara tez karo
apne jazbaat ko ab aur junun-KHez karo
ek do gam pe ab manzil-e-azadi hai
aag aur KHun ke udhar amn ki aabaadi hai
KHud-baKHud TuT ke girti nahin zanjir kabhi
badli jati hai badalti nahin taqdir kabhi
rang laega shahidon ka lahu
ye lahu surKHi hai aazadi ke afsane ki
ye shafaq-rang lahu
rang laega shahidon ka lahu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.