barbat-e-shikasta
us ne jab kahā mujh se giit ik sunā do nā
sard hai fazā dil kī aag tum lagā do nā
kyā hasīn tevar the kyā latīf lahja thā
aarzū thī hasrat thī hukm thā taqāzā thā
gungunā ke mastī meñ saaz le liyā maiñ ne
chheḌ hī diyā āḳhir naġhma-e-vafā maiñ ne
yaas kā dhuāñ uTThā har navā-e-ḳhasta se
aah kī sadā niklī barbat-e-shikasta se
us ne jab kaha mujh se git ek suna do na
sard hai faza dil ki aag tum laga do na
kya hasin tewar the kya latif lahja tha
aarzu thi hasrat thi hukm tha taqaza tha
gunguna ke masti mein saz le liya main ne
chheD hi diya aaKHir naghma-e-wafa main ne
yas ka dhuan uTTha har nawa-e-KHasta se
aah ki sada nikli barbat-e-shikasta se
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 94)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.