is basti ke ek kuche mein
is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam kā dīvānā
ik naar pe jaan ko haar gayā mash.hūr hai us kā afsānā
us naar meñ aisā ruup na thā jis ruup se din kī dhuup dabe
is shahr meñ kyā kyā gorī hai mahtāb-ruḳhe gulnār-labe
kuchh baat thī us kī bātoñ meñ kuchh bhed the us kī chitvan meñ
vahī bhed ki jot jagāte haiñ kisī chāhne vaale ke man meñ
use apnā banāne kī dhun meñ huā aap hī aap se begāna
is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam kā dīvānā
nā chanchal khel javānī ke nā pyaar kī alhaḌ ghāteñ thiiñ
bas raah meñ un kā milnā thā yā phone pe un kī bāteñ thiiñ
is ishq pe ham bhī hañste the be-hāsil sā be-hāsil thā
ik zor bipharte sāgar meñ nā kashtī thī nā sāhil thā
jo baat thī in ke jī meñ thī jo bhed thā yaksar an-jānā
is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam kā dīvānā
ik roz magar barkhā-rut meñ vo bhādoñ thī yā sāvan thā
dīvār pe biich samundar ke ye dekhne vāloñ ne dekhā
mastāna haath meñ haath diye ye ek kagar par baiThe the
yuuñ shaam huī phir raat huī jab sailānī ghar lauT ga.e
kyā raat thī vo jī chāhtā hai us raat pe likkheñ afsānā
is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam kā dīvānā
haañ umr kā saath nibhāne ke the ahd bahut paimān bahut
vo jin pe bharosa karne meñ kuchh suud nahīñ nuqsān bahut
vo naar ye kah kar duur huī 'majbūrī sājan majbūrī'
ye vahshat se ranjūr hue aur rañjūrī sī rañjūrī?
us roz hameñ ma.alūm huā us shaḳhs kā mushkil samjhānā
is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam kā dīvānā
go aag se chhātī jaltī thī go aañkh se dariyā bahtā thā
har ek se dukh nahīñ kahtā thā chup rahtā thā ġham sahtā thā
nādān haiñ vo jo chheḌte haiñ is aalam meñ nā-dānoñ ko
us shaḳhs se ek javāb milā sab apnoñ ko begānoñ ko
'kuchh aur kaho to suntā huuñ is baab meñ kuchh mat farmānā'
is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam kā dīvānā
ab aage kā tahqīq nahīñ go sunñe ko ham sunte the
us naar kī jo jo bāteñ thiiñ us naar ke jo jo qisse the
ik shaam jo us ko bulvāyā kuchh samjhāyā bechāre ne
us raat ye qissa paak kiyā kuchh khā hī liyā dukhyāre ne
kyā baat huī kis taur huī aḳhbār se logoñ ne jaanā
is bastī ke ik kūche meñ ik inshā naam kā dīvānā
har baat kī khoj to Thiik nahīñ tum ham ko kahānī kahne do
us naar kā naam maqām hai kyā is baat pe pardā rahne do
ham se bhī to saudā mumkin hai tum se bhī jafā ho saktī hai
ye apnā bayāñ ho saktā hai ye apnī kathā ho ho saktī hai
vo naar bhī āḳhir pachhtā.ī kis kaam kā aisā pachhtānā?
is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam kā dīvānā
is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana
ek nar pe jaan ko haar gaya mashhur hai us ka afsana
us nar mein aisa rup na tha jis rup se din ki dhup dabe
is shahr mein kya kya gori hai mahtab-ruKHe gulnar-labe
kuchh baat thi us ki baaton mein kuchh bhed the us ki chitwan mein
wahi bhed ki jot jagate hain kisi chahne wale ke man mein
use apna banane ki dhun mein hua aap hi aap se begana
is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana
na chanchal khel jawani ke na pyar ki alhaD ghaten thin
bas rah mein un ka milna tha ya phone pe un ki baaten thin
is ishq pe hum bhi hanste the be-hasil sa be-hasil tha
ek zor bipharte sagar mein na kashti thi na sahil tha
jo baat thi in ke ji mein thi jo bhed tha yaksar an-jaana
is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana
ek roz magar barkha-rut mein wo bhadon thi ya sawan tha
diwar pe bich samundar ke ye dekhne walon ne dekha
mastana hath mein hath diye ye ek kagar par baiThe the
yun sham hui phir raat hui jab sailani ghar lauT gae
kya raat thi wo ji chahta hai us raat pe likkhen afsana
is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana
han umr ka sath nibhane ke the ahd bahut paiman bahut
wo jin pe bharosa karne mein kuchh sud nahin nuqsan bahut
wo nar ye kah kar dur hui 'majburi sajan majburi'
ye wahshat se ranjur hue aur ranjuri si ranjuri?
us roz hamein malum hua us shaKHs ka mushkil samjhana
is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana
go aag se chhati jalti thi go aankh se dariya bahta tha
har ek se dukh nahin kahta tha chup rahta tha gham sahta tha
nadan hain wo jo chheDte hain is aalam mein na-danon ko
us shaKHs se ek jawab mila sab apnon ko beganon ko
'kuchh aur kaho to sunta hun is bab mein kuchh mat farmana'
is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana
ab aage ka tahqiq nahin go sunne ko hum sunte the
us nar ki jo jo baaten thin us nar ke jo jo qisse the
ek sham jo us ko bulwaya kuchh samjhaya bechaare ne
us raat ye qissa pak kiya kuchh kha hi liya dukhyare ne
kya baat hui kis taur hui aKHbar se logon ne jaana
is basti ke ek kuche mein ek insha nam ka diwana
har baat ki khoj to Thik nahin tum hum ko kahani kahne do
us nar ka nam maqam hai kya is baat pe parda rahne do
hum se bhi to sauda mumkin hai tum se bhi jafa ho sakti hai
ye apna bayan ho sakta hai ye apni katha ho ho sakti hai
wo nar bhi aaKHir pachhtai kis kaam ka aisa pachhtana?
is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.