udasi ek laDki hai
december kī ghanī rātoñ meñ
jab bādal barastā hai
laraztī ḳhāmushī
jab baal khole
corridoroñ meñ sisaktī hai
to ātish-dān ke aage
kahīñ se vo dabe-pāñv
mire pahlū meñ aatī hai
aur apne marmarīñ hāthoñ se
mere baal suljhāte hue
sargoshiyoñ meñ dard ke qisse sunātī hai
july kī do-pahreñ
mmTiyoñ se jab utar kar
āñganoñ meñ phail jaatī haiñ
bātoñ ke biscuit phuul jaate haiñ
to vo bhī jañgalī beloñ se
uThtī ḳhushbuoñ se jism paatī hai
mire nazdīk aatī hai
mirī sāñsoñ kī pagDanDī pe
dhīre dhīre chaltī hai
mire andar utartī hai
december ki ghani raaton mein
jab baadal barasta hai
larazti KHamushi
jab baal khole
corridoron mein sisakti hai
to aatish-dan ke aage
kahin se wo dabe-panw
mere pahlu mein aati hai
aur apne marmarin hathon se
mere baal suljhate hue
sargoshiyon mein dard ke qisse sunati hai
july ki do-pahren
mmTiyon se jab utar kar
aanganon mein phail jati hain
baaton ke biscuit phul jate hain
to wo bhi jangali belon se
uThti KHushbuon se jism pati hai
mere nazdik aati hai
meri sanson ki pagDanDi pe
dhire dhire chalti hai
mere andar utarti hai
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 32)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.