nazm
ḳhānis-pur kī vaadī meñ
shaam ke jhuTpuTe meñ
ek chashme ke kināre baiThe hue
jab tum ne...
apnī piñDliyoñ ko barahna kiyā thā
to dhuñdlāte daraḳhtoñ meñ
raushnī sī phail ga.ī thī
tumhāre lams se
chashme kā paanī
shaffāf lahroñ meñ machal uThā thā
jin meñ merā aks....
aaj bhī Dol rahā hai
KHanis-pur ki wadi mein
sham ke jhuTpuTe mein
ek chashme ke kinare baiThe hue
jab tum ne
apni pinDliyon ko barahna kiya tha
to dhundlate daraKHton mein
raushni si phail gai thi
tumhaare lams se
chashme ka pani
shaffaf lahron mein machal uTha tha
jin mein mera aks
aaj bhi Dol raha hai
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 41)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.