mom pighlata raha tera KHayal
kyā sulagtī raat hai mere nadīm
ātishīñ shorish-zada tere ḳhayāl
tū ki kosoñ duur mujh se pur-yaqīn
tū yahīñ paas mere hai kahīñ
rañg hai ki nuur kī barsāt hai
chāñdnī aur pyaar kī komal sadā
tere sāñsoñ kī mahak phailī huī
kitnī gaD-maD ho ga.ī haiñ dhaḌkaneñ
laakh maiñ ne bāñdh ke rakkhā badan
terī nazroñ se jo pighlā mom thā
ruuh ko lazzat tumhāre qurb meñ
aur āñkhoñ meñ terā manzar rahā
raat kitne karb meñ Dhaltī rahī
mom pighlātā rahā terā ḳhayāl
maiñ ki mere jism kā har saaz tū
tū ki terī be-niyāzī
kyā kahūñ!!
kya sulagti raat hai mere nadim
aatishin shorish-zada tere KHayal
tu ki koson dur mujh se pur-yaqin
tu yahin pas mere hai kahin
rang hai ki nur ki barsat hai
chandni aur pyar ki komal sada
tere sanson ki mahak phaili hui
kitni gaD-maD ho gai hain dhaDkanen
lakh main ne bandh ke rakkha badan
teri nazron se jo pighla mom tha
ruh ko lazzat tumhaare qurb mein
aur aankhon mein tera manzar raha
raat kitne karb mein Dhalti rahi
mom pighlata raha tera KHayal
main ki mere jism ka har saz tu
tu ki teri be-niyazi
kya kahun!!
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 43)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.