jahan rehana rahti thi
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
vo is vaadī kī shahzādī thī aur shāhāna rahtī thī
kañval kā phuul thī sansār se begāna rahtī thī
nazar se duur misl-e-nik.hat-e-mastāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ rehāna rahtī thī
inhī sahrāoñ meñ vo apne galle ko charātī thī
inhīñ chashmoñ pe vo har roz muñh dhone ko aatī thī
inhī Tīloñ ke dāman meñ vo āzādāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
khajūroñ ke tale vo jo khañDar se jhilmilāte haiñ
ye sab 'rehāna' ke ma.asūm afsāne sunāte haiñ
vo in khañDaroñ meñ ik din sūrat-e-afsāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
mire hamdam ye naḳhlistān ik din us kā maskan thā
isī ke ḳharma.ī-e-āġhosh meñ us kā nasheman thā
isī shādāb vaadī meñ vo be-bākāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
ye phūloñ kī hasīñ ābādiyāñ kāshāna thiiñ us kā
vo ik but thī ye saarī vādiyāñ but-ḳhāna thiiñ us kā
vo is firdaus-e-vajd-o-raqs meñ mastāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
tabāhī kī havā is ḳhāk-e-rañgīñ tak na aa.ī thī
ye vo ḳhitta thā jis meñ nau-bahāroñ kī ḳhudā.ī thī
vo is ḳhitte meñ misl-e-sabza-e-begāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
isī vīrāna meñ ik din bahishteñ lahlahātī thiiñ
ghaTā.eñ ghir ke aatī thiiñ havā.eñ muskurātī thiiñ
ki vo ban kar bahār-e-jannat-e-vīrāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
ye vīrāna guzar jis meñ nahīñ hai kārvānoñ kā
jahāñ miltā nahīñ nām-o-nishāñ tak sārbānoñ kā
isī vīrāne meñ ik din mirī 'rehāna' rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
yahīñ ābād thī ik din mire afkār kī malka
mire jazbāt kī devī mire ash.ār kī malka
vo malka jo ba-rañg-e-azmat-e-shāhāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ rehāna rahtī thī
sabā shāḳhoñ meñ naḳhlistāñ kī jis dam sarsarātī hai
mujhe har lahr se 'rehāna' kī āvāz aatī hai
yahīñ 'rehāna' rahtī hai yahīñ 'rehāna' rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
fazā.eñ gūñjtī haiñ ab bhī un vahshī tarānoñ se
suno āvāz sī aatī hai un ḳhākī chaTānoñ se
ki jin meñ vo ba-rañg-e-naġhma-e-begāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
mire hamdam junūn-e-shauq kā iz.hār karne de
mujhe us dasht kī ik ik kalī se pyaar karne de
jahāñ ik din vo misl-e-ġhuncha-e-mastāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
ba-rabb-e-kāba us kī yaad meñ umreñ gañvā dūñgā
maiñ us vaadī ke zarre zarre par sajde bichhā dūñgā
jahāñ vo jān-e-ka.aba azmat-e-but-ḳhāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
vo is Tiile par akasr āshiqāna giit gaatī thī
purāne sūrmāoñ ke fasāne gungunātī thī
yahīñ par muntazir merī vo betābāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
khajūroñ ke hasīñ saa.e zamīñ par lahlahāte the
sitāre jagmagāte the shagūfe khilkhilāte the
fazā.eñ muntashir ik nik.hat-e-mastāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
yahīñ bastī thī ai hamdam mire rūmān kī bastī
mire afsānoñ kī duniyā mire vijdān kī bastī
yahīñ 'rehāna' bastī thī yahīñ 'rehāna' bastī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
shamīm-e-zulf se us kī mahak jaatī thī kul vaadī
nigāh-e-mast se us kī bahak jaatī thī kul vaadī
havā.eñ par-fishāñ rūh-e-mai-o-mai-ḳhāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
vo gesu-e-pareshāñ yā ghaTā.eñ raqs kartī thiiñ
fazā.eñ vajd kartī thiiñ havā.eñ raqs kartī thiiñ
vo is firdaus-e-vajd-o-raqs meñ mastāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
gudāz-e-ishq se labrez thā qalb-e-hazīñ us kā
magar ā.īna-dār-e-sharm thā rū-e-hasīñ is kā
ḳhamoshī meñ chhupā.e naġhma-e-mastāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
use phūloñ ne merī yaad meñ betāb dekhā hai
sitāroñ kī nazar ne raat bhar be-ḳhvāb dekhā hai
vo sham-e-husn thī par sūrat-e-parvāna rahtī thī
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
yahīñ ham-rañg-e-gul-hā-e-hasīñ rahtī thī 'rehāna'
misāl-hūr-e-firdaus-e-barīñ rahtī thī 'rehāna'
yahīñ 'rehāna' rahtī thī yahīñ 'rehāna' rahtī thī
yahīñ vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
payām dard-e-dil 'aḳhtar' diye jaatā huuñ vaadī ko
salām-e-ruḳhsat-e-ġhamgīñ kiye jaatā huuñ vaadī ko
salām ai vādi-e-vīrāñ jahāñ 'rehāna' rahtī thī
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
wo is wadi ki shahzadi thi aur shahana rahti thi
kanwal ka phul thi sansar se begana rahti thi
nazar se dur misl-e-nikhat-e-mastana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan rehana rahti thi
inhi sahraon mein wo apne galle ko charaati thi
inhin chashmon pe wo har roz munh dhone ko aati thi
inhi Tilon ke daman mein wo aazadana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
khajuron ke tale wo jo khanDar se jhilmilate hain
ye sab 'rehana' ke masum afsane sunate hain
wo in khanDaron mein ek din surat-e-afsana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
mere hamdam ye naKHlistan ek din us ka maskan tha
isi ke KHarmai-e-aghosh mein us ka nasheman tha
isi shadab wadi mein wo be-bakana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
ye phulon ki hasin aabaadiyan kashana thin us ka
wo ek but thi ye sari wadiyan but-KHana thin us ka
wo is firdaus-e-wajd-o-raqs mein mastana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
tabahi ki hawa is KHak-e-rangin tak na aai thi
ye wo KHitta tha jis mein nau-bahaaron ki KHudai thi
wo is KHitte mein misl-e-sabza-e-begana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
isi virana mein ek din bahishten lahlahati thin
ghaTaen ghir ke aati thin hawaen muskuraati thin
ki wo ban kar bahaar-e-jannat-e-virana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
ye virana guzar jis mein nahin hai karwanon ka
jahan milta nahin nam-o-nishan tak sarbanon ka
isi virane mein ek din meri 'rehana' rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
yahin aabaad thi ek din mere afkar ki malka
mere jazbaat ki dewi mere ashaar ki malka
wo malka jo ba-rang-e-azmat-e-shahana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan rehana rahti thi
saba shaKHon mein naKHlistan ki jis dam sarsaraati hai
mujhe har lahr se 'rehana' ki aawaz aati hai
yahin 'rehana' rahti hai yahin 'rehana' rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
fazaen gunjti hain ab bhi un wahshi taranon se
suno aawaz si aati hai un KHaki chaTanon se
ki jin mein wo ba-rang-e-naghma-e-begana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
mere hamdam junun-e-shauq ka izhaar karne de
mujhe us dasht ki ek ek kali se pyar karne de
jahan ek din wo misl-e-ghuncha-e-mastana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
ba-rabb-e-kaba us ki yaad mein umren ganwa dunga
main us wadi ke zarre zarre par sajde bichha dunga
jahan wo jaan-e-kaba azmat-e-but-KHana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
wo is Tile par akasr aashiqana git gati thi
purane surmaon ke fasane gungunati thi
yahin par muntazir meri wo betabana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
khajuron ke hasin sae zamin par lahlahate the
sitare jagmagate the shagufe khilkhilate the
fazaen muntashir ek nikhat-e-mastana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
yahin basti thi ai hamdam mere ruman ki basti
mere afsanon ki duniya mere wijdan ki basti
yahin 'rehana' basti thi yahin 'rehana' basti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
shamim-e-zulf se us ki mahak jati thi kul wadi
nigah-e-mast se us ki bahak jati thi kul wadi
hawaen par-fishan ruh-e-mai-o-mai-KHana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
wo gesu-e-pareshan ya ghaTaen raqs karti thin
fazaen wajd karti thin hawaen raqs karti thin
wo is firdaus-e-wajd-o-raqs mein mastana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
gudaz-e-ishq se labrez tha qalb-e-hazin us ka
magar aaina-dar-e-sharm tha ru-e-hasin is ka
KHamoshi mein chhupae naghma-e-mastana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
use phulon ne meri yaad mein betab dekha hai
sitaron ki nazar ne raat bhar be-KHwab dekha hai
wo sham-e-husn thi par surat-e-parwana rahti thi
yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
yahin ham-rang-e-gul-ha-e-hasin rahti thi 'rehana'
misal-hur-e-firdaus-e-barin rahti thi 'rehana'
yahin 'rehana' rahti thi yahin 'rehana' rahti thi
yahin wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi
payam dard-e-dil 'aKHtar' diye jata hun wadi ko
salam-e-ruKHsat-e-ghamgin kiye jata hun wadi ko
salam ai wadi-e-viran jahan 'rehana' rahti thi
- Book : kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 148)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.