ek sau bis din
ham december meñ shāyad mile the kahīñ..!!
january, february, march, april....
aur ab may aa gayaa.....
ek sau biis din.....
ek sau biis sadiyāñ.... guzar bhī ga.iiñ
tum bhī jiite rahe,
maiñ bhī jiitī rahii....
ḳhvāhishoñ kī sulagtī huī ret par
zindagānī dabe paañv chaltī rahī
maiñ jhulastī rahii....
maiñ.... jhulastī.... rahī
ḳhair,
chhoḌo ye sab!
tum batāo tumheñ kyā huaa?
kyuuñ pareshān ho????
hum december mein shayad mile the kahin!!
january, february, march, april
aur ab may aa gaya
ek sau bis din
ek sau bis sadiyan guzar bhi gain
tum bhi jite rahe,
main bhi jiti rahi
KHwahishon ki sulagti hui ret par
zindagani dabe panw chalti rahi
main jhulasti rahi
main jhulasti rahi
KHair,
chhoDo ye sab!
tum batao tumhein kya hua?
kyun pareshan ho????
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.