yaum-e-jamhur
yaum-e-jamhūr tere aane par
naach uThe haiñ masarratoñ ke payām
in ujāloñ meñ zulmateñ to nahīñ
sochte haiñ mire vatan ke avaam
jagmagātā hai vaqt kā chehra
be-basoñ par jahān hañstā hai
apne ruḳh par nahīñ hai mauja-e-nūr
jhoñpaḌī kis tarah ho rashk-e-mahal
jām-e-jamhūriyat to piite haiñ
hasrateñ dam jo toḌ deñ ghuT kar
lekin is meñ nahīñ hai kaif-o-surūr
zindagī kyuuñ na ho shikār-e-ajal
apne hasrat-bhare muqaddar kā
is tarah ham mazāq uḌāte haiñ
ḳhud hī rote haiñ vaqt kā ronā
aur phir ḳhud hī muskurāte haiñ
yaum-e-jamhur tere aane par
nach uThe hain masarraton ke payam
in ujalon mein zulmaten to nahin
sochte hain mere watan ke awam
jagmagata hai waqt ka chehra
be-bason par jahan hansta hai
apne ruKH par nahin hai mauja-e-nur
jhonpaDi kis tarah ho rashk-e-mahal
jam-e-jamhuriyat to pite hain
hasraten dam jo toD den ghuT kar
lekin is mein nahin hai kaif-o-surur
zindagi kyun na ho shikar-e-ajal
apne hasrat-bhare muqaddar ka
is tarah hum mazaq uDate hain
KHud hi rote hain waqt ka rona
aur phir KHud hi muskuraate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.