tarana-e-watan
rashk-e-firdaus hai terā rañgīñ chaman
tujh pe gul-bāsh karte haiñ koh-o-daman
tere māthe kī rekhā haiñ gañg-o-jaman
terī miTTī meñ ḳhvābīda haiñ fikr-o-fan
faḳhr-e-yūnān thī terī bazm-e-kuhan
mere hindustāñ mere pyāre vatan
devtāoñ kī rishiyoñ kī ye sarzamīñ
zarra zarra tirī ḳhaak kā hai hasīñ
chūmtā hai qamar roz terī jabīñ
tere jalve na hoñ kis liye dil-nashīñ
tere zarre meñ ḳhurshīd kī hai kiran
mere hindustāñ mere pyāre vatan
tere qadmoñ kī zīnat hai godāvarī
hai himāla kā parbat tirā santarī
hai haqīqat meñ kashmīr jannat tirī
zarre zarre meñ tere hai ik zindagī
desh kī shaan hai taaj kā bāñkpan
mere hindustāñ mere pyāre vatan
kis balā kī kashish tere ḳhāroñ meñ hai
auj firdaus pinhāñ bahāroñ meñ hai
ik nayā bāñkpan kohsāroñ meñ hai
dilkashī kis qadar chāñd tāroñ meñ hai
hai zamāne se a.alā tirī anjuman
mere hindustāñ mere pyāre vatan
merā mandir hai tū merā ka.aba hai tū
merā maljā hai tū merā maavā hai tū
merī uqbā hai tū merī duniyā hai tū
merā hai sāz-e-dil merā naġhma hai tū
merī har saañs tere liye naġhma-zan
mere hindustāñ mere pyāre vatan
sab ko ulfat ke markaz pe lā.ūñgā maiñ
ektā kā diyā phir jalā.ūñgā maiñ
apne hāthoñ vatan ko sajā.ūñgā maiñ
prem ke giit har vaqt gā.uñgā maiñ
is tarah kā banā.ūñgā maiñ sañgThan
mere hindustāñ mere pyāre vatan
ḳhuun se apne dūñgā tujhe zindagī
tere phūloñ ko dūñgā nirālī ḳhushī
zarre zarre ko baḳhshuñgā maiñ raushnī
sab ko aisī sunā.ūñgā maiñ rāgnī
shāñtī kī bahā.ūñgā gañg-o-jaman
mere hindustāñ mere pyāre vatan
rashk-e-firdaus hai tera rangin chaman
tujh pe gul-bash karte hain koh-o-daman
tere mathe ki rekha hain gang-o-jaman
teri miTTi mein KHwabida hain fikr-o-fan
faKHr-e-yunan thi teri bazm-e-kuhan
mere hindustan mere pyare watan
dewtaon ki rishiyon ki ye sarzamin
zarra zarra teri KHak ka hai hasin
chumta hai qamar roz teri jabin
tere jalwe na hon kis liye dil-nashin
tere zarre mein KHurshid ki hai kiran
mere hindustan mere pyare watan
tere qadmon ki zinat hai godawari
hai himala ka parbat tera santari
hai haqiqat mein kashmir jannat teri
zarre zarre mein tere hai ek zindagi
desh ki shan hai taj ka bankpan
mere hindustan mere pyare watan
kis bala ki kashish tere KHaron mein hai
auj firdaus pinhan bahaaron mein hai
ek naya bankpan kohsaron mein hai
dilkashi kis qadar chand taron mein hai
hai zamane se aala teri anjuman
mere hindustan mere pyare watan
mera mandir hai tu mera kaba hai tu
mera malja hai tu mera mawa hai tu
meri uqba hai tu meri duniya hai tu
mera hai saz-e-dil mera naghma hai tu
meri har sans tere liye naghma-zan
mere hindustan mere pyare watan
sab ko ulfat ke markaz pe launga main
ekta ka diya phir jalaunga main
apne hathon watan ko sajaunga main
prem ke git har waqt gaunga main
is tarah ka banaunga main sangThan
mere hindustan mere pyare watan
KHun se apne dunga tujhe zindagi
tere phulon ko dunga nirali KHushi
zarre zarre ko baKHshunga main raushni
sab ko aisi sunaunga main ragni
shanti ki bahaunga gang-o-jaman
mere hindustan mere pyare watan
- Book : Mizraab (Kulliyat) (Pg. 65)
- Author : Prof. Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya, Delhi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.