tarana-e-qaumi
marhabā ai ḳhāk-e-pāk-e-kishvar-e-hindostāñ
yādgār-e-ahd-e-māzī hai tū ai jān-e-jahāñ
kaise kaise auliyā guzre aur qutub-e-zamāñ
jin ke qadmoñ ne banāyā hai tujhe jannat-nishāñ
raushnī se tere phailā hai ujālā har taraf
terā duniyā meñ rahā hai bol-bālā har taraf
kyuuñ na kahiye tujh ko ik sarchashma-e-āb-e-baqā
haiñ ye āsār-e-qadīma tere ganj-e-be-bahā
roz o shab nairañgiyāñ terī haiñ kyā kyā jāñ-fazā
kis qadar hai rūh-parvar ye tirī āb-o-havā
gardish-e-ayyām se go maiñ phirūñ nazdīk o duur
har jagah yād-e-vatan hai māya-e-aish-o-surūr
ab to lāzim hai ki hoñ bedār abnā-e-vatan
ho diloñ meñ jazba-e-millat-parastī josh-zan
ġhalġhala terī satā.ish kā ho tā-charḳh-e-kuhan
aur tere jāñ-nisāroñ ke ho lab par ye suḳhan
miT nahīñ sakte kabhī tere usūl-e-ittifāq
kyuuñ na ho ai hind tujh ko daur-e-nau kā ishtiyāq
jabki jaarī ho zabānoñ par ye kalma sub.h o shaam
naġhma-hā-e-sāz se baḌh kar hai jo mojaz nizām
ya.anī sulh-o-āshtī kā deñ ham aapas meñ payām
mushkileñ āsān hoñ bigḌe hue ban jaa.eñ kaam
rūnumā jis kī badaulat jalva-e-ummīd ho
duur zulmat ho diloñ se aur ghar ghar iid ho
diin o aa.iiñ haiñ judā sab ke magar ai ḳhāk-e-hind
god meñ tere raheñ shīr-o-shakar ai ḳhāk-e-hind
terī ḳhidmat par jo bāñdheñge kamar ai ḳhāk-e-hind
hoñge vo tere liye silk-e-guhar ai ḳhāk-e-hind
zeb-o-zīnat meñ tū ai jān-e-jahāñ mash.hūr hai
ḳhair o barkat se tū ai hindostāñ ma.amūr hai
roz o shab qaumoñ ko hotī hai taraqqī yā zavāl
kar sakā lekin na tujh ko daur-e-gardūñ pā.emāl
har zamāne meñ rahā terā ajab jāh-o-jalāl
sāya-e-rahmat ne daa.im tujh ko rakkhā hai nihāl
gar nazar aa.e kabhī ġham kī ghaTā chhā.ī huī
Tal ga.ī hai sar se tere har balā aa.ī huī
iḳhtilāf-e-dīn-o-millat ke ye jhagḌe hoñ tamām
jo musībat ban ga.e haiñ aaj bahr-e-ḳhās-o-ām
hai mubārak jo tujhe hāsil hai amn o intizām
''bā musalmāñ allāh allāh bā barahman raam rām''
ḳhāksārī meñ tū ab tak shohra-e-āfāq hai
maḳhzan-e-fazl-o-hunar hai ma.adin-e-aḳhlāq hai
marhaba ai KHak-e-pak-e-kishwar-e-hindostan
yaadgar-e-ahd-e-mazi hai tu ai jaan-e-jahan
kaise kaise auliya guzre aur qutub-e-zaman
jin ke qadmon ne banaya hai tujhe jannat-nishan
raushni se tere phaila hai ujala har taraf
tera duniya mein raha hai bol-baala har taraf
kyun na kahiye tujh ko ek sarchashma-e-ab-e-baqa
hain ye aasar-e-qadima tere ganj-e-be-baha
roz o shab nairangiyan teri hain kya kya jaan-faza
kis qadar hai ruh-parwar ye teri aab-o-hawa
gardish-e-ayyam se go main phirun nazdik o dur
har jagah yaad-e-watan hai maya-e-aish-o-surur
ab to lazim hai ki hon bedar abna-e-watan
ho dilon mein jazba-e-millat-parasti josh-zan
ghalghala teri sataish ka ho ta-charKH-e-kuhan
aur tere jaan-nisaron ke ho lab par ye suKHan
miT nahin sakte kabhi tere usul-e-ittifaq
kyun na ho ai hind tujh ko daur-e-nau ka ishtiyaq
jabki jari ho zabanon par ye kalma subh o sham
naghma-ha-e-saz se baDh kar hai jo mojaz nizam
yani sulh-o-ashti ka den hum aapas mein payam
mushkilen aasan hon bigDe hue ban jaen kaam
runuma jis ki badaulat jalwa-e-ummid ho
dur zulmat ho dilon se aur ghar ghar id ho
din o aain hain juda sab ke magar ai KHak-e-hind
god mein tere rahen shir-o-shakar ai KHak-e-hind
teri KHidmat par jo bandhenge kamar ai KHak-e-hind
honge wo tere liye silk-e-guhar ai KHak-e-hind
zeb-o-zinat mein tu ai jaan-e-jahan mashhur hai
KHair o barkat se tu ai hindostan mamur hai
roz o shab qaumon ko hoti hai taraqqi ya zawal
kar saka lekin na tujh ko daur-e-gardun paemal
har zamane mein raha tera ajab jah-o-jalal
saya-e-rahmat ne daim tujh ko rakkha hai nihaal
gar nazar aae kabhi gham ki ghaTa chhai hui
Tal gai hai sar se tere har bala aai hui
iKHtilaf-e-din-o-millat ke ye jhagDe hon tamam
jo musibat ban gae hain aaj bahr-e-KHas-o-am
hai mubarak jo tujhe hasil hai amn o intizam
ba musalman allah allah ba barahman ram ram
KHaksari mein tu ab tak shohra-e-afaq hai
maKHzan-e-fazl-o-hunar hai madin-e-aKHlaq hai
- Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 456)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.