sachche watan-parast ka git
ḳhauf-e-āfat se kahāñ dil meñ riyā aa.egī
baat sachchī hai jo vo lab pe sadā aa.egī
dil se niklegī na mar kar bhī vatan kī ulfat
merī miTTī se bhī ḳhushbu-e-vafā aa.egī
maiñ uThā lūñgā baḌe shauq se us ko sar par
ḳhidmat-e-qaum-o-vatan meñ jo balā aa.egī
sāmnā sabr o shujā.at se karūñgā maiñ bhī
khiñch ke mujh tak jo kabhī teġh-e-jafā aa.egī
ġhair zo.am aur ḳhudī se jo karegā hamla
merī imdād ko ḳhud zāt-e-ḳhudā aa.egī
aatmā huuñ maiñ badal Dālūñgā fauran cholā
kyā bigāḌegī agar merī qazā aa.egī
ḳhuun ro.egī samā par mere marne pe shafaq
ġham manāne ke liye kaalī ghaTā aa.egī
abr-e-tar ashk bahā.egā mire lāshe par
ḳhaak uḌāne ke liye bād-e-sabā aa.egī
zindagānī meñ to milne se jhijaktī hai 'falak'
ḳhalq ko yaad mirī ba.ad-e-fanā aa.egī
KHauf-e-afat se kahan dil mein riya aaegi
baat sachchi hai jo wo lab pe sada aaegi
dil se niklegi na mar kar bhi watan ki ulfat
meri miTTi se bhi KHushbu-e-wafa aaegi
main uTha lunga baDe shauq se us ko sar par
KHidmat-e-qaum-o-watan mein jo bala aaegi
samna sabr o shujaat se karunga main bhi
khinch ke mujh tak jo kabhi tegh-e-jafa aaegi
ghair zoam aur KHudi se jo karega hamla
meri imdad ko KHud zat-e-KHuda aaegi
aatma hun main badal Dalunga fauran chola
kya bigaDegi agar meri qaza aaegi
KHun roegi sama par mere marne pe shafaq
gham manane ke liye kali ghaTa aaegi
abr-e-tar ashk bahaega mere lashe par
KHak uDane ke liye baad-e-saba aaegi
zindagani mein to milne se jhijakti hai 'falak'
KHalq ko yaad meri baad-e-fana aaegi
- Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 474)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.