pyara hindostan
jis kā hai sab ko gyaan yahī hai
saare jahāñ kī jaan yahī hai
jis se hai apnī aan yahī hai
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
hañstā parbat hañsmukh jharnā
paañv pasāre gañgā jamunā
godī khole dhartī maatā
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
ek to ūñchā sab se himāla
us par mere desh kā jhanDā
dhartī par ākāsh kā dhokā
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
parbat kitnā jam ke aḌe haiñ
kaise kaise bhiim khaḌe haiñ
jharne gir gir paañv paḌe haiñ
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
parbat ūñchī choTī vaale
bāñke tirchhe nok nikāle
'arjun' jaise baan sambhāle
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
aartī us kī chāñd utāre
uushā us kī maañg sañvāre
sūraj us par sab kuchh vaare
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
jhūmtī gaa.eñ nāchte panchhī
saarī duniyā raqs-o-mastī
'krishn' kī bansī haa.e re bansī
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
jaal bichhā.e jaal sambhāle
kamsin saḌkeñ maañg nikāle
baal bikhere naddī naale
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
raat kī naarī Duub ga.ī hai
sub.h kī devī jaag chukī hai
panghaT par ik bhiiḌ lagī hai
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
sundar naarī naar sambhāle
ghūñghaT kāḌhe aur haTā.e
chalte phirte prem shivāle
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
dhartī kī poshāk na.ī hai
khetī jaise sabz parī hai
mehnat apne bal pe khaḌī hai
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
paḌtī būñdeñ bajtī pāyal
dhartī jal-thal panchhī ghā.el
bole papīhā kuuke koyal
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
desh kā ek ik nayan kaTorā
saare jahāñ par Daale Dorā
apnā jantā apnā elorā
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
tāj-mahal be-misl hasīna
is meñ milā kitnoñ kā pasīna
jab kahīñ chamkā hai ye nagīna
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
ahd-e-vafā kī laaj to dekho
shaah ke dil par raaj to dekho
prem ke sar par taaj to dekho
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
bhārat kī taqdīr ko dekho
jannat kī tasvīr ko dekho
aao zarā kashmīr ko dekho
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
ek isī kashmīr kā darshan
kitnoñ ke dukh dard kā darpan
aas nahā.e barse jīvan
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
ek taraf bañgāl kā jaadū
sar se kamar tak gesū hī gesū
phailī huī 'tagore' kī ḳhushbū
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
kaalī balā.eñ sar par paale
shaam avadh kī Derā Daale
aise meñ kaun apne ko sambhāle
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
husn kī taskīn ishq kī Dhāras
vaah re apnī sub.h-e-banaras
ghaaT ke patthar jaise pāras
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
mandir masjid aur shivāle
manautā kā bhaar sambhāle
kitne yugoñ ko dekhe-bhāle
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
phūloñ ke mukhḌe chuum rahe haiñ
kaale bhañvre ghuum rahe haiñ
amn ke bādal jhuum rahe haiñ
merā nivās asthān yahī hai
pyārā hindostān yahī hai
jis ka hai sab ko gyan yahi hai
sare jahan ki jaan yahi hai
jis se hai apni aan yahi hai
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
hansta parbat hansmukh jharna
panw pasare ganga jamuna
godi khole dharti mata
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
ek to uncha sab se himala
us par mere desh ka jhanDa
dharti par aakash ka dhoka
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
parbat kitna jam ke aDe hain
kaise kaise bhim khaDe hain
jharne gir gir panw paDe hain
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
parbat unchi choTi wale
banke tirchhe nok nikale
'arjun' jaise ban sambhaale
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
aarti us ki chand utare
usha us ki mang sanware
suraj us par sab kuchh ware
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
jhumti gaen nachte panchhi
sari duniya raqs-o-masti
'krishn' ki bansi hae re bansi
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
jal bichhae jal sambhaale
kamsin saDken mang nikale
baal bikhere naddi nale
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
raat ki nari Dub gai hai
subh ki dewi jag chuki hai
panghaT par ek bhiD lagi hai
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
sundar nari nar sambhaale
ghunghaT kaDhe aur haTae
chalte phirte prem shiwale
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
dharti ki poshak nai hai
kheti jaise sabz pari hai
mehnat apne bal pe khaDi hai
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
paDti bunden bajti payal
dharti jal-thal panchhi ghael
bole papiha kuke koyal
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
desh ka ek ek nayan kaTora
sare jahan par Dale Dora
apna janta apna elora
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
taj-mahal be-misl hasina
is mein mila kitnon ka pasina
jab kahin chamka hai ye nagina
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
ahd-e-wafa ki laj to dekho
shah ke dil par raj to dekho
prem ke sar par taj to dekho
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
bhaarat ki taqdir ko dekho
jannat ki taswir ko dekho
aao zara kashmir ko dekho
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
ek isi kashmir ka darshan
kitnon ke dukh dard ka darpan
aas nahae barse jiwan
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
ek taraf bangal ka jadu
sar se kamar tak gesu hi gesu
phaili hui 'tagore' ki KHushbu
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
kali balaen sar par pale
sham awadh ki Dera Dale
aise mein kaun apne ko sambhaale
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
husn ki taskin ishq ki Dhaaras
wah re apni subh-e-banaras
ghaT ke patthar jaise paras
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
mandir masjid aur shiwale
manauta ka bhaar sambhaale
kitne yugon ko dekhe-bhaale
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
phulon ke mukhDe chum rahe hain
kale bhanwre ghum rahe hain
amn ke baadal jhum rahe hain
mera niwas asthan yahi hai
pyara hindostan yahi hai
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 18)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.