muhibban-e-watan ka nara
shahīd-e-jaur-e-gulchīñ haiñ asīr-e-ḳhasta-tan ham haiñ
hamārā jurm itnā hai havā-ḳhvāh-e-chaman ham haiñ
satāne ko satā le aaj zālim jitnā jī chāhe
magar itnā kahe dete haiñ fardā-e-vatan ham haiñ
hamāre hī lahū kī bū sabā le jā.egī kan.āñ
milegā jis se yūsuf kā pata vo pairahan ham haiñ
hameñ ye faḳhr hāsil hai payām-e-nūr laa.e haiñ
zamīñ pahle-pahal chūmī hai jis ne vo kiran ham haiñ
sulā legī hameñ ḳhāk-e-vatan āġhosh meñ apnī
na fikr-e-gor hai ham ko na muhtāj-e-kafan ham haiñ
banā leñge tire zindāñ ko bhī ham ġhairat-e-mahfil
liye apnī nigāhoñ meñ jamāl-e-anjuman ham haiñ
nahīñ tesha to sar Takrā ke jū-e-shīr lā.eñge
bayābān-e-junūñ meñ jānashīn-e-kohkan ham haiñ
zamāna kar rahā hai koshisheñ ham ko miTāne kī
hilā paatā nahīñ jis ko vo buniyād-e-kuhan ham haiñ
na daulat hai na sarvat hai na ohda hai na tāqat hai
magar kuchh baat hai ham meñ ki jān-e-anjuman ham haiñ
tire ḳhanjar se apne dil kī tāqat āzmānā hai
mohabbat ek apnī hai tirā saarā zamāna hai
fidā-e-mulk honā hāsil-e-qismat samajhte haiñ
vatan par jaan dene hī ko ham jannat samajhte haiñ
kuchh aise aa ga.e haiñ tañg ham kunj-e-asīrī se
ki ab is se to behtar gosha-e-turbat samajhte haiñ
hamāre shauq kī vāraftagī hai diid ke qābil
pahuñchtī hai agar iizā use rāhat samajhte haiñ
nigāh-e-qahr kī mushtāq haiñ dil kī tamannā.eñ
ḳhat-e-chīn-e-jabīñ hī ko ḳhat-e-qismat samajhte haiñ
vatan kā zarra zarra ham ko apnī jaañ se pyārā hai
na ham maz.hab samajhte haiñ na ham millat samajhte haiñ
hayāt-e-ārzī sadqe hayāt-e-jāvedānī par
fanā honā hī ab ik ziist kī sūrat samajhte haiñ
hameñ ma.alūm hai achchhī tarah tāb-e-jafā terī
magar is se sivā apnī had-e-ulfat samajhte haiñ
ġham-o-ġhussa dikhānā ik dalīl-e-nā-tavānī hai
jo hañs kar choT khātī hai use tāqat samajhte haiñ
ġhulāmī aur āzādī bas itnā jānte haiñ ham
na ham dozaḳh samajhte haiñ na ham jannat samajhte haiñ
dikhānā hai ki laḌte haiñ jahāñ meñ bā-vafā kyūñkar
nikaltī hai zabāñ se zaḳhm khā kar marhabā kyūñkar
shahid-e-jaur-e-gulchin hain asir-e-KHasta-tan hum hain
hamara jurm itna hai hawa-KHwah-e-chaman hum hain
satane ko sata le aaj zalim jitna ji chahe
magar itna kahe dete hain farda-e-watan hum hain
hamare hi lahu ki bu saba le jaegi kanan
milega jis se yusuf ka pata wo pairahan hum hain
hamein ye faKHr hasil hai payam-e-nur lae hain
zamin pahle-pahal chumi hai jis ne wo kiran hum hain
sula legi hamein KHak-e-watan aaghosh mein apni
na fikr-e-gor hai hum ko na muhtaj-e-kafan hum hain
bana lenge tere zindan ko bhi hum ghairat-e-mahfil
liye apni nigahon mein jamal-e-anjuman hum hain
nahin tesha to sar Takra ke ju-e-shir laenge
bayaban-e-junun mein jaanashin-e-kohkan hum hain
zamana kar raha hai koshishen hum ko miTane ki
hila pata nahin jis ko wo buniyaad-e-kuhan hum hain
na daulat hai na sarwat hai na ohda hai na taqat hai
magar kuchh baat hai hum mein ki jaan-e-anjuman hum hain
tere KHanjar se apne dil ki taqat aazmana hai
mohabbat ek apni hai tera sara zamana hai
fida-e-mulk hona hasil-e-qismat samajhte hain
watan par jaan dene hi ko hum jannat samajhte hain
kuchh aise aa gae hain tang hum kunj-e-asiri se
ki ab is se to behtar gosha-e-turbat samajhte hain
hamare shauq ki waraftagi hai did ke qabil
pahunchti hai agar iza use rahat samajhte hain
nigah-e-qahr ki mushtaq hain dil ki tamannaen
KHat-e-chin-e-jabin hi ko KHat-e-qismat samajhte hain
watan ka zarra zarra hum ko apni jaan se pyara hai
na hum mazhab samajhte hain na hum millat samajhte hain
hayat-e-arzi sadqe hayat-e-jawedani par
fana hona hi ab ek zist ki surat samajhte hain
hamein malum hai achchhi tarah tab-e-jafa teri
magar is se siwa apni had-e-ulfat samajhte hain
gham-o-ghussa dikhana ek dalil-e-na-tawani hai
jo hans kar choT khati hai use taqat samajhte hain
ghulami aur aazadi bas itna jaante hain hum
na hum dozaKH samajhte hain na hum jannat samajhte hain
dikhana hai ki laDte hain jahan mein ba-wafa kyunkar
nikalti hai zaban se zaKHm kha kar marhaba kyunkar
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 76)
- Author : Anand Narayan Mull
- Publication : Qaumi Council Baraye-farogh Urdu (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.