inqalab
zamāne kī havā badlī udhar rañg-e-chaman badlā
guloñ ne jab ravish badlī anādil ne vatan badlā
tarīqa āshnā.ī kā kabhī aisā na badlā thā
ki chaal ushshāq ne badlī hasīnoñ ne chalan badlā
badalte aa.e haiñ yuuñ to hamesha daur gardūñ ke
na aisā bhī ki ham badle hamārā kul jatan badlā
maqāsid maz.hab o millat ke badle daur-e-ālam ne
sahā.if kī sharh badlī kitāboñ kā matan badlā
badal Daalā hai aisā maġhribī tahzīb ne ham ko
mazāq-e-ḳhvān-e-nemat aur tarz-e-pairahan badlā
purānī chaal be-Dhañgī hamārī dekheñ kab badle
abhī tak jug hī badle the ġhazab ye hai qaran badlā
na badlā par na badlā haa.e tarz-e-muasharat qaumī
agarche saarī duniyā kā hunar aur ilm-o-fan badlā
nizām-e-shā.erī meñ haa.e aayā inqalāb aisā
ki shān-e-nazm badlī aur andāz-e-suḳhan badlā
salīqa intiqād-e-jins-e-hirfat kā nahīñ ham ko
zar-e-ḳhālis se abresham-numā europe ne san badlā
na badlā hai na badlegā faqat qānūn-e-islāmī
'qamar' jab tak ki qudrat ne na ye charḳh-e-kuhan badlā
zamane ki hawa badli udhar rang-e-chaman badla
gulon ne jab rawish badli anadil ne watan badla
tariqa aashnai ka kabhi aisa na badla tha
ki chaal ushshaq ne badli hasinon ne chalan badla
badalte aae hain yun to hamesha daur gardun ke
na aisa bhi ki hum badle hamara kul jatan badla
maqasid mazhab o millat ke badle daur-e-alam ne
sahaif ki sharh badli kitabon ka matan badla
badal Dala hai aisa maghribi tahzib ne hum ko
mazaq-e-KHwan-e-nemat aur tarz-e-pairahan badla
purani chaal be-Dhangi hamari dekhen kab badle
abhi tak jug hi badle the ghazab ye hai qaran badla
na badla par na badla hae tarz-e-muasharat qaumi
agarche sari duniya ka hunar aur ilm-o-fan badla
nizam-e-shaeri mein hae aaya inqalab aisa
ki shan-e-nazm badli aur andaz-e-suKHan badla
saliqa intiqad-e-jins-e-hirfat ka nahin hum ko
zar-e-KHalis se abresham-numa europe ne san badla
na badla hai na badlega faqat qanun-e-islami
'qamar' jab tak ki qudrat ne na ye charKH-e-kuhan badla
- Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 419)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.