husul-e-azadi ki diqqaten
hind kā āzād ho jaanā koī āsāñ nahīñ
dekhnā tum ko abhī kyā kyā dikhāyā jā.egā
dekhnā tum se abhī kitne kiye jā.eñge makr
kis tarah tum ko abhī chakkar meñ laayā jā.egā
tum meñ Daalā jā.egā ik saḳht o nāzuk tafraqa
tum ko shah de de ke aapas meñ laḌāyā jā.egā
peshvāyān-e-mazāhib ko mileñgī rishvateñ
Dhoñg tablīġh aur shuddhī kā rachāyā jā.egā
dharm rakshā ke liye tum se liye jā.eñge ahd
tum ko maz.hab apnā ḳhatre meñ dikhāyā jā.egā
leaderoñ se hoñge va.ade ḳhil.at-o-in.ām ke
qillat o kasrat kā hañgāma uThāyā jā.egā
tum ko parvāna atā hogā ḳhitāb o jaah kā
tum ko ohde de ke lālach meñ phañsāyā jā.egā
gar ye tadbīreñ muqaddar se na raas aa.eñ to phir
dūsrī sūrat se tum ko Dagmagāyā jā.egā
intihā.ī barbariyat se liyā jā.egā kaam
band kar ke tum ko jailoñ meñ saḌāyā jā.egā
dāna-pānī kar diyā jā.egā bilkul tum pe band
tum ko bhūkoñ maar ke qabze meñ laayā jā.egā
garm lohe se tumhāre jism dāġhe jā.eñge
tum ko koḌe maar kar ullū banāyā jā.egā
jā.edādeñ sab tumhārī zabt kar lī jā.eñgī
bāl-bachchoñ par tumhāre zulm Dhāyā jā.egā
bāvajūd us ke bhī tum qaa.em rahe zid par agar
be-ta.ammul tum ko phāñsī par chaḌhāyā jā.egā
is tarah bhī tum agar laa.e na abrū par shikan
sar tumhāre paañv par āḳhir jhukāyā jā.egā
hind ka aazad ho jaana koi aasan nahin
dekhna tum ko abhi kya kya dikhaya jaega
dekhna tum se abhi kitne kiye jaenge makr
kis tarah tum ko abhi chakkar mein laya jaega
tum mein Dala jaega ek saKHt o nazuk tafraqa
tum ko shah de de ke aapas mein laDaya jaega
peshwayan-e-mazahib ko milengi rishwaten
Dhong tabligh aur shuddhi ka rachaya jaega
dharm raksha ke liye tum se liye jaenge ahd
tum ko mazhab apna KHatre mein dikhaya jaega
leaderon se honge wade KHilat-o-inam ke
qillat o kasrat ka hangama uThaya jaega
tum ko parwana ata hoga KHitab o jah ka
tum ko ohde de ke lalach mein phansaya jaega
gar ye tadbiren muqaddar se na ras aaen to phir
dusri surat se tum ko Dagmagaya jaega
intihai barbariyat se liya jaega kaam
band kar ke tum ko jailon mein saDaya jaega
dana-pani kar diya jaega bilkul tum pe band
tum ko bhukon mar ke qabze mein laya jaega
garm lohe se tumhaare jism daghe jaenge
tum ko koDe mar kar ullu banaya jaega
jaedaden sab tumhaari zabt kar li jaengi
baal-bachchon par tumhaare zulm Dhaya jaega
bawajud us ke bhi tum qaem rahe zid par agar
be-tammul tum ko phansi par chaDhaya jaega
is tarah bhi tum agar lae na abru par shikan
sar tumhaare panw par aaKHir jhukaya jaega
- Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 255)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
- Edition : 1982,Editon II 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.