hubb-e-qaumi
hubb-e-qaumī kā zabāñ par in dinoñ afsāna hai
bāda-e-ulfat se pur dil kā mire paimāna hai
jis jagah dekho mohabbat kā vahāñ afsāna hai
ishq meñ apne vatan ke har bashar dīvāna hai
jab ki ye āġhāz hai anjām kā kyā pūchhnā
bāda-e-ulfat kā ye to pahlā hī paimāna hai
hai jo raushan bazm meñ qaumī taraqqī kā charāġh
dil fidā har ik kā us par sūrat-e-parvāna hai
mujh se is hamdardī-o-ulfat kā kyā hove bayāñ
jo hai vo qaumī taraqqī ke liye dīvāna hai
lutf yaktā.ī meñ jo hai vo duī meñ hai kahāñ
bar-ḳhilāf is ke jo ho samjho ki vo dīvāna hai
naḳhl-e-ulfat jin kī koshish se ugā hai qaum meñ
qābil-e-tārīf un kī himmat-e-mardāna hai
hai gul-e-maqsūd se pur gulshan-e-kashmīr aaj
dushmanī nā-ittifāqī sabza-e-begāna hai
dur-fishāñ hai har zabāñ hubb-e-vatan ke vasf meñ
josh-zan har samt bahr-e-himmat-e-mardāna hai
ye mohabbat kī fazā qaa.em huī hai aap se
aap kā lāzim tah-e-dil se hameñ shukrāna hai
har bashar ko hai bharosā aap kī imdād par
aap kī hamdardiyoñ kā duur duur afsāna hai
jam.a haiñ qaumī taraqqī ke liye arbāb-e-qaum
rashk-e-firdaus un ke qadmoñ se ye shādī-ḳhāna hai
hubb-e-qaumi ka zaban par in dinon afsana hai
baada-e-ulfat se pur dil ka mere paimana hai
jis jagah dekho mohabbat ka wahan afsana hai
ishq mein apne watan ke har bashar diwana hai
jab ki ye aaghaz hai anjam ka kya puchhna
baada-e-ulfat ka ye to pahla hi paimana hai
hai jo raushan bazm mein qaumi taraqqi ka charagh
dil fida har ek ka us par surat-e-parwana hai
mujh se is hamdardi-o-ulfat ka kya howe bayan
jo hai wo qaumi taraqqi ke liye diwana hai
lutf yaktai mein jo hai wo dui mein hai kahan
bar-KHilaf is ke jo ho samjho ki wo diwana hai
naKHl-e-ulfat jin ki koshish se uga hai qaum mein
qabil-e-tarif un ki himmat-e-mardana hai
hai gul-e-maqsud se pur gulshan-e-kashmir aaj
dushmani na-ittifaqi sabza-e-begana hai
dur-fishan hai har zaban hubb-e-watan ke wasf mein
josh-zan har samt bahr-e-himmat-e-mardana hai
ye mohabbat ki faza qaem hui hai aap se
aap ka lazim tah-e-dil se hamein shukrana hai
har bashar ko hai bharosa aap ki imdad par
aap ki hamdardiyon ka dur dur afsana hai
jama hain qaumi taraqqi ke liye arbab-e-qaum
rashk-e-firdaus un ke qadmon se ye shadi-KHana hai
- Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 308)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.