hindostan
nāqūs se ġharaz hai na matlab azaañ se hai
mujh ko agar hai ishq to hindostāñ se hai
tahzīb-e-hind kā nahīñ chashma agar azal
ye mauj-e-rañg-rañg phir aa.ī kahāñ se hai
zarre meñ gar taḌap hai to is arz-e-pāk se
sūraj meñ raushnī hai to is āsmāñ se hai
hai is ke dam se garmī-e-hañgāma-e-jahāñ
maġhrib kī saarī raunaq isī ik dukāñ se hai
naqus se gharaz hai na matlab azan se hai
mujh ko agar hai ishq to hindostan se hai
tahzib-e-hind ka nahin chashma agar azal
ye mauj-e-rang-rang phir aai kahan se hai
zarre mein gar taDap hai to is arz-e-pak se
suraj mein raushni hai to is aasman se hai
hai is ke dam se garmi-e-hangama-e-jahan
maghrib ki sari raunaq isi ek dukan se hai
- Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 200)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
- Edition : 1982,Editon II 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.