hamara des
jag se bhalā sansār se pyārā
dil kī ThanDak aañkh kā taarā
sab se anokhā sab se nyārā
duniyā ke jiine kā sahārā
pyārā bhārat des hamārā
kitnī pur-kaif is kī adā.eñ
kitnī dilkash is kī fazā.eñ
mushk se baḌh kar is kī havā.eñ
ḳhuld se behtar is kā nazārā
pyārā bhārat des hamārā
mulk ko hāsil ho āzādī
ḳhatm ho daur-e-sitam-ījādī
duur ho is kī sab barbādī
charḳh pe chamke ban ke taarā
pyārā bhārat des hamārā
ham meñ paidā ho yak-jā.ī
sab hoñ bāham bhaa.ī bhaa.ī
hindū muslim, sikh, īsā.ī
gaa.eñ mil kar giit ye pyārā
pyārā bhārat des hamārā
jag se bhala sansar se pyara
dil ki ThanDak aankh ka tara
sab se anokha sab se nyara
duniya ke jine ka sahaara
pyara bhaarat des hamara
kitni pur-kaif is ki adaen
kitni dilkash is ki fazaen
mushk se baDh kar is ki hawaen
KHuld se behtar is ka nazara
pyara bhaarat des hamara
mulk ko hasil ho aazadi
KHatm ho daur-e-sitam-ijadi
dur ho is ki sab barbaadi
charKH pe chamke ban ke tara
pyara bhaarat des hamara
hum mein paida ho yak-jai
sab hon baham bhai bhai
hindu muslim, sikh, isai
gaen mil kar git ye pyara
pyara bhaarat des hamara
- Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 69)
- Author : Sibte Hasan
- Publication : Qaumi Council Baraye-farogh Urdu (1985(Urdu Acadami U.P 2007 (Urdu Council Adition))
- Edition : 1985(Urdu Acadami U.P 2007 (Urdu Council Adition)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.