gulzar-e-watan
phūloñ kā kunj-e-dilkash bhārat meñ ik banā.eñ
hubb-e-vatan ke paude is meñ na.e lagā.eñ
phūloñ meñ jis chaman ke ho bū-e-jāñ-nisārī
hubb-e-vatan kī qalmeñ ham is chaman se laa.eñ
ḳhūn-e-jigar se sīñcheñ har naḳhl-e-ārzū ko
ashkoñ se bel-būToñ kī aabrū baḌhā.eñ
ek ek gul meñ phūñkeñ rūh-e-shamīm-e-vahdat
ik ik kalī ko dil ke dāman se deñ havā.eñ
firdaus kā namūna apnā ho kunj-e-dilkash
saare jahāñ kī jis meñ hoñ jalva-gar fazā.eñ
chhāyā ho abr-e-rahmat kāshana-e-chaman meñ
rim-jhim baras rahī hoñ chāroñ taraf ghaTā.eñ
murġhān-e-bāġh ban kar uḌte phireñ havā meñ
naġhme hoñ rūh-afzā aur dil-rubā sadā.eñ
hubb-e-vatan ke lab par hoñ jāñ-fazā tarāne
shāḳhoñ pe giit gaa.eñ phūloñ pe chahchahā.eñ
chhā.ī huī ghaTā ho mausam tarab-fazā ho
jhoñke chaleñ havā ke ashjār lahlahā.eñ
is kunj-e-dil-nashīñ meñ qabza na ho ḳhizāñ kā
jo ho guloñ kā taḳhta taḳhta ho ik jināñ kā
bulbul ko ho chaman meñ sayyād kā na khaTkā
ḳhush ḳhush ho shāḳh-e-gul par ġham ho na āshiyāñ kā
hubb-e-vatan kā mil kar sab ek raag gaa.eñ
lahja judā ho garche murġhān-e-naġhma-ḳhvāñ kā
ek ek lafz meñ ho tāsīr-e-bū-e-ulfat
andāz dil-nashīñ ho ek ek dāstāñ kā
murġhān-e-bāġh kā ho us shāḳh par nasheman
pahuñche na haath jis tak sayyād-e-āsmāñ kā
mausam ho josh-e-gul kā aur din bahār ke hoñ
aalam ajiib dilkash ho apne gulsitāñ kā
mil mil ke ham tarāne hubb-e-vatan ke gaa.eñ
bulbul haiñ jis chaman ke giit us chaman ke gaa.eñ
phulon ka kunj-e-dilkash bhaarat mein ek banaen
hubb-e-watan ke paude is mein nae lagaen
phulon mein jis chaman ke ho bu-e-jaan-nisari
hubb-e-watan ki qalmen hum is chaman se laen
KHun-e-jigar se sinchen har naKHl-e-arzu ko
ashkon se bel-buTon ki aabru baDhaen
ek ek gul mein phunken ruh-e-shamim-e-wahdat
ek ek kali ko dil ke daman se den hawaen
firdaus ka namuna apna ho kunj-e-dilkash
sare jahan ki jis mein hon jalwa-gar fazaen
chhaya ho abr-e-rahmat kashana-e-chaman mein
rim-jhim baras rahi hon chaaron taraf ghaTaen
murghan-e-bagh ban kar uDte phiren hawa mein
naghme hon ruh-afza aur dil-ruba sadaen
hubb-e-watan ke lab par hon jaan-faza tarane
shaKHon pe git gaen phulon pe chahchahaen
chhai hui ghaTa ho mausam tarab-faza ho
jhonke chalen hawa ke ashjar lahlahaen
is kunj-e-dil-nashin mein qabza na ho KHizan ka
jo ho gulon ka taKHta taKHta ho ek jinan ka
bulbul ko ho chaman mein sayyaad ka na khaTka
KHush KHush ho shaKH-e-gul par gham ho na aashiyan ka
hubb-e-watan ka mil kar sab ek rag gaen
lahja juda ho garche murghan-e-naghma-KHwan ka
ek ek lafz mein ho tasir-e-bu-e-ulfat
andaz dil-nashin ho ek ek dastan ka
murghan-e-bagh ka ho us shaKH par nasheman
pahunche na hath jis tak sayyaad-e-asman ka
mausam ho josh-e-gul ka aur din bahaar ke hon
aalam ajib dilkash ho apne gulsitan ka
mil mil ke hum tarane hubb-e-watan ke gaen
bulbul hain jis chaman ke git us chaman ke gaen
- Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 28)
- Author : Sibte Hasan
- Publication : National Council For Promotion Of Urdu Language (1985,2007)
- Edition : 1985,2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.