chhabbis january
ye daur-e-nau-mubārak farḳhanda-aḳhtarī kā
jamhūriyat kā āġhāz anjām qaisarī kā
kyā jāñ-fazā hai jalva ḳhurshīd-e-ḳhāvarī kā
har ik shuā-e-raqsāñ misra.a hai anvarī kā
roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january kā
daur-e-jadīd laayā bhārat kī bartarī kā
bhārat kī bartarī meñ kis ko kalām hai ab
thā jo rahīn-e-pastī gardūñ-maqām hai ab
jamhūriyat pe qaa.em saarā nizām hai ab
aalā hai yā hai adnā bā-ehtirām hai ab
roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january kā
daur-e-jadīd laayā bhārat kī bartarī kā
sadiyoñ ke band TuuTe āzād hoga.e ham
qaid-e-girāñ se chhūTe dil-e-shād ho ga.e ham
be-ḳhauf be-niyāz-e-sayyād ho ga.e ham
phir bas gayā nasheman ābād hoga.e ham
roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january kā
daur-e-jadīd laayā bhārat kī bartarī kā
jo muztarib thī dil meñ vo aarzū bar aa.ī
takmīl-e-ārzū ne dil kī ḳhalish miTā.ī
jis mulk par ġhulāmī ban ban ke shaam chhā.ī
sub.h-e-masarrat us ko allāh ne dikhā.ī
roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january kā
daur-e-jadīd laayā bhārat kī bartarī kā
ta.abīr-e-ḳhvāb-e-'gāñdhī' tafsīr-e-hāl-e-'nehrū'
'āzād' kī riyāzat 'sardār' kī tagāpū
raḳhshāñ hai hurriyat kā zebā-nigār dil-jū
taskīn-e-qalb muslim ārām-e-jān-e-hindū
roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january kā
daur-e-jadīd laayā bhārat kī bartarī kā
qurbāñ hue jo is par rūheñ haiñ shaad un kī
ham jis se bahra-var haiñ vo hai murād un kī
hai bas-ki sarfaroshī shāyān-e-dād un kī
bhārat kī is ḳhushī meñ shāmil hai yaad un kī
roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january kā
daur-e-jadīd laayā bhārat kī bartarī kā
āzād ho gayā jab hindostāñ hamārā
hai suud ke barābar har ik ziyāñ hamārā
manzil pe aan pahuñchā jab kārvāñ hamārā
kyuuñ ho ġhubār-e-manzil ḳhātir-nishāñ hamārā
roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january kā
daur-e-jadīd laayā bhārat kī bartarī kā
aivān-e-farruḳhī kī tāmīr-e-nau mubārak
ā.īn-e-zindagī kī tadbīr-e-nau mubārak
har zarra-e-vatan ko tanvīr-e-nau mubārak
bhārat ke har bashar ko tauqīr-e-nau mubārak
roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january kā
daur-e-jadīd laayā bhārat kī bartarī kā
bhārat kā azm hai ye taufīq ai ḳhudā de
duniyā se īn-o-āñ kī tafrīq ko miTā de
amn-o-amāñ se rahnā har mulk ko sikhā de
har qaum shukriye meñ har saal ye sadā de
roz-e-sa.īd aayā chhabbīs january kā
daur-e-jadīd laayā bhārat kī bartarī kā
ye daur-e-nau-mubarak farKHanda-aKHtari ka
jamhuriyat ka aaghaz anjam qaisari ka
kya jaan-faza hai jalwa KHurshid-e-KHawari ka
har ek shua-e-raqsan misra hai anwari ka
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
bhaarat ki bartari mein kis ko kalam hai ab
tha jo rahin-e-pasti gardun-maqam hai ab
jamhuriyat pe qaem sara nizam hai ab
aala hai ya hai adna ba-ehtiram hai ab
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
sadiyon ke band TuTe aazad hogae hum
qaid-e-giran se chhuTe dil-e-shad ho gae hum
be-KHauf be-niyaz-e-sayyaad ho gae hum
phir bas gaya nasheman aabaad hogae hum
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
jo muztarib thi dil mein wo aarzu bar aai
takmil-e-arzu ne dil ki KHalish miTai
jis mulk par ghulami ban ban ke sham chhai
subh-e-masarrat us ko allah ne dikhai
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
tabir-e-KHwab-e-'gandhi' tafsir-e-haal-e-'nehru'
'azad' ki riyazat 'sardar' ki tagapu
raKHshan hai hurriyat ka zeba-nigar dil-ju
taskin-e-qalb muslim aaram-e-jaan-e-hindu
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
qurban hue jo is par ruhen hain shad un ki
hum jis se bahra-war hain wo hai murad un ki
hai bas-ki sarfaroshi shayan-e-dad un ki
bhaarat ki is KHushi mein shamil hai yaad un ki
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
aazad ho gaya jab hindostan hamara
hai sud ke barabar har ek ziyan hamara
manzil pe aan pahuncha jab karwan hamara
kyun ho ghubar-e-manzil KHatir-nishan hamara
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
aiwan-e-farruKHi ki tamir-e-nau mubarak
aain-e-zindagi ki tadbir-e-nau mubarak
har zarra-e-watan ko tanwir-e-nau mubarak
bhaarat ke har bashar ko tauqir-e-nau mubarak
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
bhaarat ka azm hai ye taufiq ai KHuda de
duniya se in-o-an ki tafriq ko miTa de
amn-o-aman se rahna har mulk ko sikha de
har qaum shukriye mein har sal ye sada de
roz-e-said aaya chhabbis january ka
daur-e-jadid laya bhaarat ki bartari ka
- Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 437)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
- Edition : 1982,Editon II 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.