chhabbis january
ai shāñtī ahinsā kī uḌtī huī parī
aa tū bhī aa ki aa ga.ī chhabbīs january
sar par basant ghaas zamīñ par harī harī
phūloñ se Daalī Daalī chaman kī bharī bharī
aa.ī na tū to sab kī sunūñgā kharī kharī
tujh bin udaas hai mirī khetī harī-bharī
aa jald aa ki aa ga.ī chhabbīs january
ghūñghaT ulaT rahī hai chaman kī kalī kalī
shāḳheñ to teḌhī-meḌhī haiñ sūrat bhalī bhalī
rañgīniyāñ haiñ baaġh meñ ḳhushbū galī galī
shabnam se hai kalī kī piyālī bharī bharī
aa tū bhī aa ki aa ga.ī chhabbīs january
muskā rahī hai mujh pe mire baaġh kī kalī
āñkheñ dikhā rahī hai mujhe kal kī chhokrī
aisā na ho ki phuul uḌā.eñ mirī hañsī
ab tairne lagī mirī āñkhoñ meñ jal-parī
aa jald aa ki aa ga.ī chhabbīs january
kāñTe hoñ chāhe phuul hoñ fasl-e-bahār ke
paale haiñ donoñ ek hī parvardigār ke
ham bhārtī shikār haiñ apne hī vaar ke
ai shāñtī ahinsā kī uḌtī huī parī
dhartī pe aa ki aa ga.ī chhabbīs january
ai shanti ahinsa ki uDti hui pari
aa tu bhi aa ki aa gai chhabbis january
sar par basant ghas zamin par hari hari
phulon se Dali Dali chaman ki bhari bhari
aai na tu to sab ki sununga khari khari
tujh bin udas hai meri kheti hari-bhari
aa jald aa ki aa gai chhabbis january
ghunghaT ulaT rahi hai chaman ki kali kali
shaKHen to teDhi-meDhi hain surat bhali bhali
ranginiyan hain bagh mein KHushbu gali gali
shabnam se hai kali ki piyali bhari bhari
aa tu bhi aa ki aa gai chhabbis january
muska rahi hai mujh pe mere bagh ki kali
aankhen dikha rahi hai mujhe kal ki chhokri
aisa na ho ki phul uDaen meri hansi
ab tairne lagi meri aankhon mein jal-pari
aa jald aa ki aa gai chhabbis january
kanTe hon chahe phul hon fasl-e-bahaar ke
pale hain donon ek hi parwardigar ke
hum bhaarti shikar hain apne hi war ke
ai shanti ahinsa ki uDti hui pari
dharti pe aa ki aa gai chhabbis january
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 325)
- Author : Nazir Husain Khan
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.