bhaarat ke saputon se KHitab
bhārat ke ai sapūto himmat dikhā.e jaao
duniyā ke dil pe apnā sikka biThā.e jaao
murda-dilī kā jhanDā pheñko zamīn par tum
zinda-dilī kā har-sū parcham uḌaa.e jaao
laao na bhuul kar bhī dil meñ ḳhayāl-e-pastī
ḳhush-hālī-e-vatan kā beḌā uThā.e jaao
tan-man miTā.e jaao tum nām-e-qaumiyat par
rāh-e-vatan meñ apnī jāneñ laḌā.e jaao
kam-himmatī kā dil se nām-o-nishāñ miTā do
jur.at kā lauh-e-dil par naqsha jamā.e jaao
ai hindūo musalmāñ aapas meñ in dinoñ tum
nafrat ghaTā.e jaao ulfat baḌhā.e jaao
'bikram' kī rāj-nītī 'akbar' kī policy kī
saare jahāñ ke dil par azmat biThā.e jaao
jis kashmakash ne tum ko hai is qadar miTāyā
tum se ho jis qadar tum us ko miTā.e jaao
jin ḳhāna-jañgiyoñ ne ye din tumheñ dikhā.e
ab un kī yaad apne dil meñ bhulā.e jaao
be-ḳhauf gaa.e jaao ''hindostāñ hamārā''
aur ''vande-mātaram'' ke na.are lagā.e jaao
jin desh sevakoñ se hāsil hai faiz tum ko
in desh sevakoñ kī jai jai manā.e jaao
jis mulk kā ho khāte din raat āb-o-dāna
us malak par saroñ kī bheñTeñ chaḌhā.e jaao
phāñsī kā jail kā Dar dil se 'falak' miTā kar
ġhairoñ ke muñh pe sachchī bāteñ sunāte jaao
bhaarat ke ai saputo himmat dikhae jao
duniya ke dil pe apna sikka biThae jao
murda-dili ka jhanDa phenko zamin par tum
zinda-dili ka har-su parcham uDae jao
lao na bhul kar bhi dil mein KHayal-e-pasti
KHush-haali-e-watan ka beDa uThae jao
tan-man miTae jao tum nam-e-qaumiyat par
rah-e-watan mein apni jaanen laDae jao
kam-himmati ka dil se nam-o-nishan miTa do
jurat ka lauh-e-dil par naqsha jamae jao
ai hinduo musalman aapas mein in dinon tum
nafrat ghaTae jao ulfat baDhae jao
'bikram' ki raj-niti 'akbar' ki policy ki
sare jahan ke dil par azmat biThae jao
jis kashmakash ne tum ko hai is qadar miTaya
tum se ho jis qadar tum us ko miTae jao
jin KHana-jangiyon ne ye din tumhein dikhae
ab un ki yaad apne dil mein bhulae jao
be-KHauf gae jao hindostan hamara
aur wande-mataram ke nare lagae jao
jin desh sewakon se hasil hai faiz tum ko
in desh sewakon ki jai jai manae jao
jis mulk ka ho khate din raat aab-o-dana
us malak par saron ki bhenTen chaDhae jao
phansi ka jail ka Dar dil se 'falak' miTa kar
ghairon ke munh pe sachchi baaten sunate jao
- Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 470)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.